Kishore Kumar Hits

Deadbot - Kitabi Duniya lyrics

Artist: Deadbot

album: Kuch Ankahi Baatein


Pyaar hai mera toh phir marzi bhi meri hai
Galti meri toh sazaye bhi toh meri hai
Jaan lelo kyuki jeena bhi majburi hai haan
Khwaab dekho kyuki manzile yaha par adhuri haina
Pyaar hai mera toh marzi bhi meri hai na
Galti meri toh sazaye bhi toh meri hai na
Jaan lelo kyuki jeena bhi majburi hai na
Khwaab dekho kyuki manzile yaha par adhuri haina
Yeh toh padhna hai sekhate par jeena nahi
Dard sehna hai sekhate cheekna nahi
Hone ko toh saath hote he hai na sabhi
Par lagti kyu zindagi mai logo ki kami
Kho gaye vo raaste joh manzilo tak jaate the
Kho gaye voh joh haathon se khilate the
Dhudho unko mujhe unki zarurat hai ab
Khojo usko jiska mere naso mai hai rakht
Kyu voh saath na hai (saath na hai)
Kyu voh pass na hai (pass na hai)
Kya voh janta hai (janta hai)
Ki beta khush na hai (khush na hai)
Kitabi dunia mai mujhe akelapan lage
Ghar ki ladaiyo ko ham bachpan kahe
Meri nani mere nana mere mama
Yeh sab jante hai zaruri hai kamana
Mai kya janta mujhe na koi kami hui
Mai bas janta houn inse na hai upper koi
Kese sare mere sapne yaha toot rahe
Kese sab mujhe pyaar dena bhul rahe
Haan matlabi thoda matlabi he rehne do na
Haan khona hai mujhe logo ko mujhe khone do na
Pyaar hota kyu hai uska iraada kya hai
Pyaar hota usse jisko khuda cheenta hai
Mai toh firse tootne ko bhi taiyaar houn
Dhoka jaan ke bhi usse jyada pyaar do
Pyaar hai mera toh phir marzi bhi meri hai
Galti meri toh sazaye bhi toh meri hai
Jaan lelo kyuki jeena bhi majburi hai haan
Khwaab dekho kyuki manzile yaha par adhuri hai
Pyaar hai mera toh phir marzi bhi meri hai na
Galti meri toh sazaye bhi toh meri hai na
Jaan lelo kyuki jeena bhi majburi hai na
Khwaab dekho kyuki manzile yaha par adhuri haina

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists