Kishore Kumar Hits

Deadbot - Adhuri Kahani lyrics

Artist: Deadbot

album: Akele


Mai thak gaya houn bhag ke
Ab iss dard ko ham kya he naam de
Joh akele he sehna hai sab kehte hai
Yeh aasu toh paani hai inko bas behna hai
Phir kyu ked kar rakha hai maine inko palko mai
Shayad kyuki yeh bhi mujhe chod jayenge iska dar hai yaadon mai
Kismat banai jaati hai likhi nahi himmat jutai jati hai milti nahi
Isiliye mai in ankho ko samjhata houn ki ek din
Ek din Mai voh dariya dhundh lunga jiske kinare mai
Aur bas mai he rahunga
Jaha mujhe marne ka dar nahi hoga
Jaha mere roone ko koi rook na raha hoga
Voh kagaz voh paane kitabo mai khali padhe hai
Jis kitab ko maine khushi ka naam diya
Uss kitab ko mai vaha bharunga
Jaha mere dil ne mujhe pukar liya
Mai chahta mai bas vaha khush rahu
Mai chahta houn bas meri aakhe vaha nam na ho
Par jab bhi koshish karta houn yeh dard kabhi khatam na ho
Yeh kesa mera man hai khush hota hai toh roona chahta hai
Aur hasta hai toh khudh se he mou modna chahta hai
Yeh kyu hai yeh kya hai yeh kis liye hai
Yeh mujhe jaana nahi
Mujhe bas apne man ko manana hai ki tu khush reh
Tu Khush reh tu zinda hai tu jeete reh
Tu mera hai bas tu mera reh par mai yaha khush nahi
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele ham
Akele Akele Akele
Haath voh kaape mera (kaape voh)
Dimag bhi chalta raha (chalne do)
Aasu chupana bhi tha (chupne do)
Dard batana bhi tha (batana bhi tha)
Man bhi yeh maanta na (na maane voh)
Ki tu yeh raaz chupa (chupa bhi de)
Tu vaha khush bhi na tha (khush bhi na)
Tu ab awaaz utha (utha le na)
Yeh toh kamzori hai Teri joh tujhe girati voh tujhe dubati
Adat voh teri hai banna he chahti
Sukoon ki neend bhi ab na hai aati Kyu
Khudko tu khudko ab cheen le (cheen le)
Dar bhi tujhe na hai jeene de (jeena de)
Yeh toh ab meri he sazishien (sazish hai)
Marne ki kesi guzarishein (guzarish hai)
Chahau Mai marna
Na chahu mai jeena
Ha dekhu voh Sapna jaha mushkile bhi na
Satati mujhe na girati mujhe hai hasati mujhe na rulati mujhe
Mai toh adhura houn apne in toote se jhoote sapno ke bina
Mai toh bas soochu joh baatien dimag mai chalti he rehti hai na
MARNE KI
MARNE KI
SAASIEN KYU CHAL RAHI
MARNA HE
MARNA HE
MUSHKIL HAI KESI YEH ZINDAGI
MARNE KI
MARNE KI
SAASIEN KYU CHAL RAHI
MARNA HE
MARNA HE
MUSHKIL HAI KESI YEH ZINDAGI
Ab mai ek nai zindagi jee raha raha houn
Yaha ek nai si duniya hai
Ab mai voh purani yaadien bhul raha houn
Yaha ek sukoon sama hai
Yaha yeh rangeen badal meri khushiyo ke hai
Aur inki baarieshon mai meri muskurahat barasti hai
Par ek dar hai yaha
Ek ajeeb sa khauf hai yaha
Isiliye shayad bas mai iss adhuri kahani ko
Adhura rehne dena chahta houn
Kyuki shayad is pal me mai khud ko Kho na do mai isse ghabrata houn
Haath bhi joh the voh mitti ke the aasu padhte he phighal Gaye
Yaha jab bhi sawera ho mai bolu ham yaha kyu rahe
Rehna nai chahta mai (rehna nai chahta mai)
Rehna nai chahta mai (rehna nai chahta mai)
Jhooti kahani hai jhoote yeh sapne hai
Rehna nai chahta mai
Behna nai chahta mai (behna nai chahta mai)
Behna nai chahta mai (behna nai chahta mai)
Jhooti yeh nadiya jhooti yeh baarishein
Behna nai chahta mai
Rehna nai chahta mai rehna nai chahta mai
Rehna nai chahta mai
Jhooti kahani hai jhoote yeh sapne hai
Rehna nai chahta mai
Behna nai chahta mai behna nai chahta mai
Behna nai chahta mai
Jhooti yeh nadiya jhooti yeh baarishein
Behna nai chahta mai
Kuch kahaniya adhuri he sundar hoti hai
Unhe adhura he rehne do
Kuch sapne jhoote he saache lagte hai
Bas Aakh mat khulne do

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists