Toko na takiye ko, neendein to churayi sapno ne! Roko na karwato ko, raatein to bigaadi sapno ne! Sapne kai tarah ke aaye gaye Bas kuchh gehre thehre Kuch haseen, kuch ajeeb, kuchh dil ke kareeb Kuch ameer, kuchh gareeb, gaaye paiso ke sangeet, Kuchh hasaaye, kuchh rulaaye, dhadkane uljhaye Ankahi chaahato ko jagaye... Toko na takiye ko, neendein to churayi sapno ne Roko na karwato ko, raatein to bigaadi sapno ne Aadatein inko aafaton ki, aahatein bani angaaro si, Andekhe aaine ye, andhere anokhe sapno se Par aajkal ek hi sapna hai kuchhta, Rozana ek hi baat mujhse puchhta, Kya kahu aisa jiski sabko qadar ho Kya likhu aisa jismein sabka safar ho Kya seekhu aisa jiska sab pe asar ho Kya karu aisa jispe sabki nazar ho Toko na takiye ko, neendein to churayi sapno ne Roko na karwato ko, raatein to bigaadi sapno ne Aadatein inko aafaton ki, aahatein bani angaaro si, Andekhe aaine ye, andhere anokhe sapno se!