Kaash koi khheechein Teri meri tasveerein Dhoondhli si ho thodi Jadui tasveerein Chal saath dhoondhe Teri meri taqdeerein Dhoondhli si ho thodi Jadui taqdeerein Lakeeron mein kyun dhoondhe? Manzilo ke ajoobe... Manzil banti tukdo se, Phir kyun kismat mein dhoondhe? Kyun dhoondhe? Kya dhoondhe? Kaise, kaha kyun dhoondhe? Kyun dhoondhe? Kya dhoondhe? Kaise, kaha kyun dhoondhe? Bikhre ye tukde saare Paheliya pukaare Dhoondh saare tukdo ko Jod Manzil banaaye Banaaye, banaaye, Jod manzil banaaye! Banaaye, banaaye, Jod manzil banaaye! Ye tukde hum anjaane mein banaate hai roz Ye vo muskaane jo hum khhichvaate hai roz Ye tukde hai Teri meri tasveerein Ye tukde hai Teri meri tasveerein Hai paheli Teri meri taqdeerien Sab suljhaye Teri meri tasveerein Kal hum soch na sake, aise nazaaro ko kaid karte hai aaj Kal soch na sake, aisi umeedo ko riha karte hai aaj Ek aisa nazaara, ho jaise khazaana Jaha aansu bhi has pade Ek aisa nazaara, ho jaise khazaana Jaha muskaane bhi ro pade Ek aisa nazaara, ho jaise khazaana Jaha aasmano mein let sake Ek aisa nazaara, ho jaise khazaana Jaha dhool mein bhi udd sake Kaash koi khheechein Teri meri tasveerein Dhoondhli si ho thodi Jadui tasveerein Chal saath dhoondhe Teri meri taqdeerein Dhoondhli si ho thodi Jadui taqdeerein Kaash koi khheechein Teri meri tasveerein Dhoondhli si ho thodi Jadui tasveerein Chal saath dhoondhe Teri meri taqdeerein Dhoondhli si ho thodi Jadui taqdeerein