Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon Ilahi teri chokhat per bhikari ban ke aya hoon Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai Bhikari woh jisey hiras o hawas nay maar dala hai Mata e deen o danish nafs ke hathon se lutwa ker Sakoon e qalb ki daulat hawas ki bheent charha ker Lutta ker sari poonji ghaflat o issyan ki daldal mein Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein Gunahon ki lipatt sey kaynat e qalb afsurda Iraaday muzmehal himmat shikasta hoslay murda Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki Ke kis jhanjhaal mein guzri hein ghariyan zindagani ki Khulasa yeh ke bus jull bhun ke apni roo sayahi sey Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon haali Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali Yeh tera ghar hai tere mehr ka darbar hai maula Sarapa noor hai ik mohbat e anwaar hai mola Teri chokhat ke jo adab hein main unn se khali hoon Nahi jis ko saleeqa manganey ka woh sawali hoon Zuban gharke e nadamat dil ki nakas tarjumaani per Khudaya raham meri iss zabaan e be zabani par Ye ankhein khushk hein ya rabb inhein rona nahi aata Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon Sarapa faqr hoon ijz o nadamat saath laya hoon