Likhne baitha jo kara mehsoos Kore panno pe sawaal,kya hai mera vajood Jaanu ek din aage jaakar mai hona mashoor Par filhaal apne khwaabo se koso meel door Pita soche beta ban jaye kuch Apne pairo pe wo chal paye khud Un ne apni jindagi lagadi mujhe banane me Shayad ek din unhe kar pau khush 17 ka tha jab chod diya ghar 4 saalo se lauta nai mai,bhar gaya man Maaf karna papa,shayad mai aap jitna kaabil nai ban paya Yu bachpan se ghoome maut ka sarpe saya Khair,dimaagi beemari hamare,khoon me Chahte hum bhi ruswa chodke jeena sukoon se Galti meri hi hai,zaalim zamaana bewafa mai Munafiqo me chala tha wafa dhundhne Na Jaane Kyu? Na Jaane Kyu? Dafan kari uski yaade jabse wo nai rahi Raha pyaar pe bharosa nai,khair wo bhi sahi Kisi aur se mohobbat wapas hogi nai Kar na paunga khulke pyaar agar koi ho bhi gayi Just a giver in a world full of takers Hard to not burst into rage seeing personal hatred Inhe nai pata kuch,sirf jaanta hai khuda bhai Mai reng ke chala,chile ghutne par mai ruka nai Parayo ke na moo lagu mai kyu ladu,tell you truth What goes around,that comes around,like a hoolahoops If you could choose today to be end of your life Would you choose to disappear or would stay livin right? Pata nai Jaanu kosunga mai khudko agar jindagi se ladkar nai kuch bana mai Jindagi bhi kamal hai Kismat khudke haath me hokar bhi kardete us ke hawale Na Jaane Kyu? Na Jaane Kyu? Na jaane kyu? Na jaane kyu?