Wo Kehti Thi lejana ghar mujhe Wo Kehti thi rehna yahapar Bas tu hai jo saath to fir lage na dar mujhe Wo Kehti Thi Wo Kehti Thi aasu hi tapke jab tu ho naaraz tujhe kabse Mai dekhna chahu yu aakh meri tarse Na door ho dua meri rab se Wo kehti thi ab kya rukna keh dena sabhi ko Hai mujhpar hai chodi ye chavi jo Kehdena lage koi kami to Wo kehti thi Dil se is dil tak ko choolena Hai tere saaye me sukoon har ek vaada kabool Bas ye khwaab kabhi toote na Wo Kethi Thi Wo Kehti Thi karna is rishte ki dil se hifasat Sirf tu hi kamjori tu hi meri taaqat Hu kho chuki khudko in baaho me aakar Wo Kehti Thi Dard diya bohot use gairo ne Jindagi beet gayi andhero me Ab use dar sa lage in savero se Wo Kehti Thi Apna banake na door ja Aur mujhse na raha kar yu khafa Hai khud par hi kaabu nai kyu bata Mai Kehta Tha, bachpan se aise hi sudhre nai Chahat sirf aasman choone ki Filhaal abhi jung meri khud se hi Wo Sehti Thi Har waqt ki man marzi meri Aur palbhar ki hamdardi meri Thi hasrat bhi, nafrat bhi gehri Bas aise hi Choot gaya saath uska ek din Aur beet gaye saal use dekhe bin Par ab bhi wo saaf thi wo nek dil Khair Ab waise bhi Khone ko kuch bhi bacha nai Lage koi apna saga nai Ab jeene ki mil rahi wajah nai Wo kehti thi Dil se is dil tak ko choolena Hai tere saaye me sukoon har ek vaada kabool Bas ye khwaab kabhi toote na