Jaara tum sab se dur Ye yaade kheechey mujhko Khuda ka kya kasur Mene hai maara khudko Ye pehli keelein meri zindagi ki Bichaa tu p arthiv shareer Mera thok de woh keel Tedhi Medhi si baatein karte jaa raha tha Maa meri royi par woh dost musku ra raha tha Nakli woh yaari thi Paali mene bimaari thi Saanpo ko dudh chadha diya Kari usne gaddari hi thi Par sab nahi, kuch asli bhi they Mujhe dekh ke chaati meri bhi peet re they Woh cheek re they Kahaaniya sunaare meri Kaafi sateeq se they They keep sayin' Ke yaad meri aa rahi hai Jo asli waali thi woh aansu kyu chupaa rahi hai? Sawaalon ke ye, tsunami si jo aa rahi hai Bulbul bethi hai jo tabse shamshaan me, Mere gaane gun gunnaa rahi hai Ek aur keel ye sawaalon ke jo thok chuka Maut se zyada dard ye dhoke ka hai 2 guna Kaun asli kon nakli najaane kisko dosh dunga Upar jab jau toh khuda ka ghar mai dhund lunga Kya ye sab asli hai? Ye duniya nakli hai? Idhar koi waqt ni fir Ya kiski chalti hai? Ye kaala rang na jaane failey kyu jaa raha hai Ye mere jeevan me andhera sa ab laa raha hai Sawaalo ke bastey ko kandhey me chadha chuke Kismat ek khel tha jo ab hai azmaa chuke Manzil woh kaafi dur dur se pukaare mujhe Jaldi se aaja tu Yun kehke ab bulaaye mujhe Doshi theraun kisey sab gunhegar hai Farzi sapno ke fasaane ka ye bazaar hai Andhere kamre me sirf shaanti ab goonjti Lakeerey choti kyu padi bhi ek sawaal hai Woh 10 minute jo meri zindagi dikhaye mujhe Bachpan ki yaade dikhaa kar jo ab pighlaye mujhe Buri ache waqt ki tasveeren dikhaye mujhe Jannat ya jahnum kidhar jaara hu koi bataaye mujhe Pahaunchne waala hu mai bhi khuda ke dwaar pe Tabtak taraazu se meri wafaa ka bhao dekh Keemat bataana mere pyaar ki ussey Dum kyu ghot raha gendey ka ye haar hai Bachi hai keelein 2 Ye saanse cheen lo Khatam ye meri khoj Dur rakho nakli log Ashko ke pichey ki Kahaaniya bhi bol Andar ki baate khol Murda ki galti bol Na meri galti woh Kismat esi jo palti toh Girna padhna bhi lage shok Me bethe mere thode dost Ankho me kashti behe rahi jo Yaadon me meri doobey woh Darna issey ek vehm tha Saanse hai ab jo kho di toh Jeere meri yaadon me kyun Shaanti hi maange meri rooh Jaane bhi do mujhe tum ab Baaton me sabki kyu rahu Ab lega mera woh hisaab Farishta hu ya koi asur Khula hai ab ye maut ka moo Aankhey band kar aur jaldi kood Aakhri keel Thoko mere naam pe Jisne bhi dard diya chodh usko jaan de Jaan de, tu yam ke haath me Ab thuki saari keeley teri Kabar taiyyar hai Maut ke ghaat me khuda ne ab utaar diya Na diya gham aur kisi se na udhaar liya Jaara mai bhi bharr ke vaadon ke kuch karz ko Jaana padhega maa usney ab mera naam liya