Ye vo sab jo bhi maine dekha Aur seekha Kahaa nahin kabhi jo bas sahaa hi hai Us dard me unmaad kuch mazaa bhi hai Cheekh jo nikli na kabhi halak se Foote to awaaz vo tabaahi hai Sachhai hai jo cheer de chattaan ko Khairaat me mila hai jo ghante pe baje gyan vo Saari umar saalata ehsaan ka nishaan vo To kya bech dun mai atma shaitaan ko Sultaan vo ki jigar me jiske zor hai Ilm hai har baat ka hi todd hai Jo thhaan le vo karna hai uska hi to dour hai Kharch aaj zindagi kal to andha moudd hai Houddd hai, talab hai, takleef hai ye zindagi Shouk hai, junoon hai, tassali hai ye mousiki Jaan hai shaan hai ye dosti Zehar hain majbooriyan nahin karta koi khushi se kabhi khudkushi Zehar hain majbooriyan nahin karta koi khushi se kabhi khudkushi Zehar hain majbooriyan Zehar hain majbooriyan Chillaane se nahin saabit hoti mardaanagi Huliye ki kimat nahin keemat hai zubaan ki Maine ghisa maine sha lahu sara mera bahaa Nahin mila koi vardaan hi Khatam karke khwahisho ko jarurto ko pala hai Makhhi banke atka hun nasha to ik jaala hai Sach ka munh kaala jhooth ka bolbala hai Zinda hoke murda hum zindagi ghotala hai Chhaala hai jo rooh me vo dikhta na Hota jo dard to mai likhta na Baal bikte khaal bikti jism aur jaan bikti Kya yanha bikta na Tikta na fareb magar vo to bulbula hai Zaahir karun ghum apne jaise chutkula hai Sheeshe me bhi dekha maine maashooka ki aankhon me Mujhko na mila mai ajeeb hi khalaa hai Sheeshe me bhi dekha maine maashooka ki aankhon me Mujhko na mila mai ajeeb hi khalaa hai Kahaa nahin kabhi jo bas sahaa hi Kahaa nahin kabhi jo bas sahaa hi Us dard me unmaad kuch mazaa bhi Cheekh jo nikli na kabhi halak se Foote to awaaz vo tabaahi