Kishore Kumar Hits

Ashant Anu - Shukr Hai lyrics

Artist: Ashant Anu

album: Mantariksh


Shukr sa chalta hu
Shukr sa dhalta hu
Shukr sa jalta hu
Shukr hai jalta hu
Shukr sa chalta hu
Shukr sa dhalta hu
Shukr sa jalta hu
Shukr hai jalta hu
Likh ke yeh baatein aadhi
Likh ke bhi baatein kaati
Rehti hain saansein bhari
Ho rakhi hain aakhein kaali
Dikhti na hai kamyabi
Dikhti hai han mein na bhi
Pasand nahi camera
Fir bhi chahiye paparazzi
Honge tabhi papa raazi
Khushi hi to maa ne maangi
Sapne yeh marte jaa rahe
Ho rakha dil Nagasaki
Ghar pe hai jaana baki
Ghar pe samjhana baki
Mushkil se milta hai
Music se daana paani
Bhale hi koi maane na bhi
Baat ho gayi hai jaan-e-jaan ki
Sangeet mashook meri
Jaise Jaun ki Fareha thi
Umeed yeh to haarega ji
Isko kya koi jaanega bhi
Bachpan se milti ayi
Aisi mujhe taanebaazi
Haarega par maanega nahi
Vapis peechhe jaane ka nahi
Us se hoga zamana
Ashant is zamane ka nahi
Dil ke tukde haare kaafi
Teer dil pe maare kaafi
Ab par chalti dil mein
Shayari ki naare baazi
Jod rakhi sangeet se
Is dil ne hain taarein kaafi
Dil mein basi thi jo kabhi
Vo bhi to hai gaane gaati
Sadkein naapi Kale Khan ki
Dil ko kaha kalakh na pee
Kaali syahi se likhe geet
Mila jaise ho kaala paani
Shukr sa chalta hu
Shukr sa dhalta hu
Shukr sa jalta hu
Shukr hai jalta hu
Shukr sa chalta hu
Shukr sa dhalta hu
Shukr sa jalta hu
Shukr hai jalta hu

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists