Kishore Kumar Hits

Ashant Anu - Chaand lyrics

Artist: Ashant Anu

album: Chaand


Jaha imaraatein kha jaati din ki dhoop ko
Khushi failate hain bachhon ko bata kar jhooth vo
Jhooth ek yeh bhi ki Chanda mama ayenge kabhi
Baahon mein le kar tumhe taaron mein khilayenge kabhi
Bachhe taakte asmaan ko, ummeed liye aankhon mein
Jaate chhat par chaand dekhne ko fir raaton mein
Par unke unche ghar se unchi imaaraten aas paas thi
Par chaand dekhe bina nahi kaatni aj ki raat thi
Sapnon se upar uthaya sar, aur utha le ediyan
Ek gira to uske upar jhapte ban sab bhediya
Kisi ki bhi nazar na thi us banere ki taraf
Parchhaiyan paanch girti rahi andhere ki taraf
Sapne to tootne hi the, par inke jaldi toot gaye
Subah sab sochte rahe kyu yeh bachhe kood gaye
Najayaz khwahish thi kya, ki unhe chaand dikh jaata
Laal talaab mein khoon ke par chaand dikhta raha
Matlab do hai is baat ke, bachhe baith ke raat mein
Khushiyon ko sab baant'te, bachhe Chaand ko taakte
Matlab do hai is baat ke, bachhe baith ke raat mein
Khushiyon ko sab baant'te, bachhe Chaand ko taakte
Chalo chalein kahani tumhe ek aur sunata hu
Chaand sun na le, hone do bhor sunata hu
Ghor sannata kyu tha, ghar mein sab chup pade the
Nashe mein choor, maa-baap dono dhut pade the
Chup khade the bachhe, mann mein koi shararat na thi
Bas khush the, chahiye kisi ki ijazat na thi
Vo jaa sakte the bahar, koi bhi rok tok naa thi
Befikri thi, aa ke dekh lenge jhol mol baki
Bada bhai chhote ko poora bharmaand dena chahta tha
Par aj ki shaam vo bas usey chaand dena chahta tha
Ginte ginte kon sa gin rahe taara bhool gaye
Daudhe chaand ke peechhe, nadi ka kinara bhool gaye
Hanuman ji ne pakda tha dinkar, main chaand pakdunga
Doonga chhote bhai kk, main khud kuchh taare rakh lunga
Masoom sa sapna yeh kuchh aise bikhra tha
Do tairti laashon ke beech bhor tak chaand dikhta raha

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists