Kishore Kumar Hits

Manikk - 4 Guna lyrics

Artist: Manikk

album: 4 Guna


Mai bhale baatein karu 4 guna kamm
Par dil mei mere chhupi baatein 4 guna zyada
Mai bhale likhu unse 4 guna kamm
Jo likhu, unse behtar likhu 4 guna zyaada
Meri, fati si jeb mei, gandhi thoda kamm
Unke, dilo mei mere liye pyaar thoda zyada
Chaahe, namazein padhu unse 4 guna kamm
Mujme samaaya allah mujhse 4 guna zyada
Jismon ka khel mujhe bhaata nahi
Jismon se khelna bhi mujhe aata nahi
Maine dhokhe diye hain unse 4 guna kamm
Apna dil hai tudwaya unse 4 guna zyada
Kyun mere saath khadne vale bas 4
Kyun mere saath ladne vaale 4 guna zyada
Kyun mujhe call karne vaale bas 4
Kyun phone mei hai log, 1000 guna zyaada
4 guna zyada matlab meri baaton ka
Hai 4 guna zyada mujhse matlabi yeh log saale
4 din yeh nibhaate baawe yaariyaan
Aur 4 din baad baawe kon the yeh log saale
Achhe the
Rishte humaare kacche the
Bhagat bhi bole bacche yeh
Bawa bacche yeh, we don't play with them
Maine, logon pe bharosa karke
4 guna zyada gunah kiya hai
Nafrat faile 4 guna zyada
Aur pyaar failaana yaha pe sazaa hai
Paison ka moh inhe 4 guna zyada
Paison se hote hain jismon ke saude
Paison ke liye sab jaan lelenge
Chaahe paison se pariwaar bhi kho dein
Maa baap ke saath meri photoein 4
Saanpon ke sath pose kiye 4 hazaar se bhi zyaada
Kuch, 8 se 10,000 chehre inke
Thakk gaya mai ginke, bazaar se bhi zyaada
Variety inki, society jinki
Badnamiyo se bhari hui, vibe hai kinky
Hai baap ka paisa, dimaag hai kaisa
Sapnon mei bhi Pubg, inko bhejo Pochinki
Asal zindagi mei 4-5 log
Par online circle 1000 guna zyada
Sahi mei izzat karne vale kyun hain 4 guna kamm
Par muh pe randi bolne vaale 4 guna zyada
Devi ki pooja karne vaale 4 guna kamm
Devi aur pooja ko raste pe chhedein 4 guna zyaada
Samajhdaar hain jaanwar, so fck humanity
I believe animality, ab se 4 guna zyada
4 guna zyada fake depression
Hai 4 guna zyada fake feminists bhare pade
Inki rooh hai fake
Sarkaar ne jaise jhoothe vaade apni list mei bhare pade
4 guna zyada facts iss gaane mei
4 guna kamm share hoga yeh zamaane mei
Hai jo pehle se famous, unhi ki tum chaato
Khair, maine bhi abb kya lena iss zamaane se
Maine, logon pe bharosa karke
4 guna zyada gunah kiya hai
Nafrat faile 4 guna zyada
Aur pyaar failaana yaha pe sazaa hai
Paison ka moh inhe 4 guna zyada
Paison se hote hain jismon ke saude
Paison ke liye sab jaan lelenge
Chaahe paison se pariwaar bhi kho dein

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

21

2021 · single

Similar artists