Gaur-e-nazar se dekho Dikhti soorat meen seerat Tere gar rang dil ki Badle na pal pal fitrat Hanske woh nadaan pooche Baaton hi baaton mein Pooche kya hai keemat Tere in khwaabon ki Is deewanepan ki Tere armaanon ki Mansoobon pe tere Barsa aisa paani Dhulti hai shakhsiyat Na mila koi saani Hai aaghaz yeh ya shikast meri Dastaan-e-shauq haqeeqat meri Sunke mere kisse Phir bole bakhabar woh Aye tujhse pehle maskhare Bazaaron mein Khushi tu dhoondey jisko Hai nilaam ishteyhaaron mein Phir kyun yakeen ho Mujhko is haal-e-chaman par Karobaari le doobi Jab yaaron ki yaari Hai aaghaz yeh ya shikast meri Dastaan-e-shauq haqeeqat meri Dastaan-e-shauq Dastaan-e-shauq Dastaan-e-shauq Dastaan-e-shauq Hanske tujhse poochun Baaton hi baaton mein Poochun kya hai keemat Tere khwaabon ki Tere in Khwaabon ki.