Ek din aisa hua, jo ke hona tha Aaya tere jahaan mein main, par mujhe na aana tha Marzi meri nahin thi na hi mera tha khayal Apney hone pe khud se karta hoon main sawaal Bahlaya pehle ye chand ne Suraj ne bhi phir muje aise lalchaaya Taare bhi chamak ke so gaye Jal jal ke koi bhi na yeh dil behla saka Par yeh masoom hai par itna bhi nahin Chand suraj sitaarey sabhi rehna nahin Gulshan hai tujhse yeh sou par, yeh tu hai nahin In sab se main khela magar maine maana ye sanam nahin Teri hi wafa mein, hum aag se khelein Sehra hi paya humne yeh dariya cheer ke Ek teri hi khushi mein, hum kahan guzar gaye Arey kaunsi dagar hai aur kitne faasle Kaheen jagah waheen pe hai na Jahan pe dil ko khayal behlaate hain Nigaahon mein, tu hi to hai naa Pukar sun le meri, aey jaana Anjaanay saare yahan, kab tak main sahoon Jeene ki khatir dil badle to main kuch kahoon Sun ne ko raazi ho to main unke saath rahoon Har ek chamak ke peeche na daudein to main sang chaloon Yeh badlein har pal chehra naya Aiyaari mein dekho kaise jhoomta jahan Darbadar bhataktey yahan wahaan Manzil hai kahin pe aur ye chal diye kahan Waqt nahin paayega tu, phat jaayegi zameen Kabhi na kabhi ye samjhegaa tu mujhko hai yakeen Sachchaai se aankhein firaana teri fitrat hai Maine to wohi kaha jo kehna maqsad hai Duniya to duniya hai, duniya ki keemat nahin Surat teri achhi hai par seerat hai nahin Jeene ko to jo paaye bhi jeete hai magar Insaan hai tu khud apni na karta hai kadar Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena... Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena... Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena... Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena...