Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon Ek aakhiri mauka de mujhe Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon Sirf saanse hi to baaki hain Jab teri yaad aati hai Yaad me teri, saath ye bhi chhod jaati hai Ghalti to sabse hoti hai Galti mujhse bhi ho gayi Ab maaf bhi karde mujhe Kyu door itna ho gayi Ek ghalti ke liye Kyu saath chhod tu Kyu munh mod gayi tu Kyu be-nishaan sa Nishaan chhod gayi tu Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon Jaan maanta hoon... Ek aakhiri mauka de mujhe Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon Shaan manta hoon... Socha kuch pee kar tujhe bhula dunga Par pee kar bhi yaad aayi tu Itni si baat par chhod gayi Jaana hi tha to aayi kyun Jeena mera aasaan kar Tu milke ye ehsaan kar Yaad teri sataati hai Ab aaja baat maan kar Jab jab tu chali jaati hai Aisi nami chha jati hai Jaise gir prde ho baadal mujh par Ek aanch dil pe aa jati hai Jab aankhen band hoti hain Bas tu sath hoti hai Teri yaadon ke takiye pe Bas raat meri soti hai Tu kyu door hai yun mujhse Tujhe chahta hu poore dil se Sun le meri aarzoo Tu hi meri jaan hai Tu hi mera jahaan hai Tu hi hai sab kuch mera Adhoora tere bin dil ye mera Tu kyu samajhti nahi Ye dil hai sirf tera Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon Jaan maanta hoon... Ek aakhiri mauka de mujhe Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon Shaan manta hoon...