Ab na mai karta hoon shyari, na wo pharti faiz hai Muhabat jail jisme hum dono umar kaid hai Rahegi gawah kabhi bola usse jhoot nahi Sawaal krne walay hain jawab dene ka mood nahi Chor ke jana bhi ek hunar se kam nahi Mujhe chorne ki zimedaar ab wo khud thi Mujhey afsos nahi ke wo mujhe chor gai Afsos yeh hai ke wo mujhe chor ke khush thi Jahan tu bole ab us jagah se ma hilta nahi tha Tera tho humshakal bhi sai se tujhmai milta nahi tha Marne se phele tujhse milna hai har soorat ma Ab usse shikwa hai ke taimour mujhse milta nahi Cheer dia mujhe inhone rakhdo in khalo ko Mohabat hogai tumhe chalo ab mubarak ho Aur tum kya jaano ke ye mohabat kya hoti hai Muhabat cheez hi asi jo milti qismat walo ko Aur Andar mere, tera dia dard bheta hai Teri hi gali mai, terе bagal mai wo rehta hai Mujhse poochte yе dard kese sehta hai Kardeta bayaan, taimour gano mai sab kehta hai Asnun ko kese roken humsab ansu tho bheta hai Jo deta dard wo wapis dard bhi leta hai Meri babesi ka alam ye din bhi guzaron sog mai Manga uane khula aur kahan milenge ab Court mein Ajaenge peeche tere saray haath dhokay Tu koi unokha nahi, tujhe bhi honge dhokay To bhi bolega sabko ke yaar ke ma theek hun Tu bhi hasega phir mitaega asu roke Hum do lehre hain jo aik hi bankar bheti Yeh lehren wafadaar hain ye khudse nahi kehti Mai in lehron ke kinaray hy beth ke likhraha ye geet To dono lehren mile, leke bheta ye umeed Hogi meri jeet jab lehre mile dobara Lehron ne kya shor tera naam jab pukara Is dariyaa ka koi zariya nahi ye daria seedha jaata hai Taimour kitna bura hai wo ganay bhi tho gaata hai Waqt guzarta gaya zindagi aik dor hai Har qisam ke gum mile per tera gum kuch aur hai Wo aankhien jo mere siwa kisi ko dekhe na Per un akhon ka asal haqdaar koi aur hai Shehre dil ma kamata kese paisay mein Wou Qeemat hoti meri aur wo takhwa kuch aur ha Tujhe dhoonde mai zindagi kardi hain basar Meri talash tu teri talash tho koi aur hai Poori raat mujhse baatien karke class mai wo sogayi thi Uthadia tha bas ye galti mujhse hogai thi Mujhe yaad hai aik din school mai ma girgaya tha Mamuli si chot per wo rogayi thi Nafrat hai usko mujhe aur mere anay se Socha bachalunga mubahabat apni ganay ganay se Tune ab haath se lagaen hain mere marham yaad kar Mai choten bhi lagane laga tha isi bahane se Lagta aisa jese raat bhar wo soti nahi hai Muhabat har kisi ko har kisi se hoti nahi hai Mur ke bhi nahi dekha jab gayi tu dil ye torker Kamane jaata hun araam mai yeh araam chor ker Ke dastan sunaraha hun teri saalgira ke din Aaj teri saalgira hai na tho tu aake mujhse mil Happy birthday to you aaj tum khushiya manao Kitne dost bangaye hain uske mujhe nahi batao Maza ata tha jeene mai jab tum thi mere saath Agar ye sunrahi ho tum, tho jaanlo ye baat Teri yad mujhe aati tho khatakdeta hoon foran Aaj saalgira hai teri, yaaden anay dunga aaj Happy birthday