Kishore Kumar Hits

aleemrk - Life Goes On lyrics

Artist: aleemrk

album: Life Goes On


Instagram delete mene kar dia tha pichle haftay
Sukoon nahi milta shayad kat jau me ab in sabsay
Han jabsay paida hua tab se hee me dheet hun
Aja meri jaan tujhe saari apni cheez du
Ye rakh tu paise tujhe zaroorat pe kaam ayenge
Ye leja gaari tere dost tujhe maan jayenge
Ye rakh mobile agar iphone ka shauk tujhe
Ye 4 gaali de ke samjhte hai khauf mujhe
Badle me maangu me bas rishta itna pakka ke
Kal koi anjaan mujhe sarak pe bhi dhakka de
Tu us ko 2 de or bol yaha se chalta ban
Aise rishto se to mera kabhi bhi nahi bharta man
Nahi bharta man agar rishto me ye paisa na ho
Warna majbooran shayad kal ko kabhi aisa na ho
Mujhe giraane ke hee kal ko tujhe laakh mile
Tujhe yaha daag mujhe asmaan me baag mile
Pehle insaan bike phir yaha emaan bike
Kagaz pe mene poori industry ke daam likhe
Wo mujhe bole kuch nahi hona tera industry me
One of the finest me kyun unhe mera naam dikhe
Organisers phone kare event karana hai
Mera kaam tumhe sirf paise batana hai
Baaki event ke ye saare laanjhe teri zimedaari hai
Me paise kum nahi karta to ye kehte is ke bhaari hai
Bhaari to honge chote kala koi mazaak nahi hai
Artist ke lie saala budget in ke paas nahi hai
Han aleem bhai chale 20 25 me done karte hai
Samjh meri jaan mujhe 30 35 bhi kum partay hai
Samjh raha hai na ye mera dhanda nahi hai
Par art se paise na kamau ye jamta nahi hai
Wo pooche sab se kyun tum itna door rehte ho
Kyun ke meri tarah koi bhi khule man ka nahi hai
Dhool ke peeche bhaaga bechaniyo me raate jaaga
Apno se lar ke aksar band kamro me gaane gaata
Rishto me pyaar nahi dekha mene bharam ziada
Raate ghar se bahir to phir khaana kese garam khaata?
Tu mujhe samjh paata agar hota meri jaga
Bharam ke chakkar me tu itni bhi mat dairi karna
Ke Kal ko maut ae or maang na pae maafi tu
Tu aja mere gale lag me ab bhi tere paas hee hu
Ye teri whack deals ke lie me raazi nahi hu
Me poora khel koi choti moti baazi nahi hu
Tu acha rapper hai bhai tu mujh se behtar hai bhai
Par ungli mat utha mere pe tera maazi nahi hu
Kitna batau ke me thak chuka!
Anginat saro pe hath rakh chuka
Nahi hoti mujh se ye behesbaazi
Mere dil se ziada mera sar dukha
Mat aa ke maang mujh se maafiyaaan
Mere Dil me jo tha mene gaa diyaaaaa
Bhai hai to bhai ban ke rehna bhai
Kyun bharte har baat pe tum haamiyan
Mujhe chal jaata hai pata kon chaat raha hai
Mera mushkilo se rishta ghaat ghaat ka hai
Tu ne zindagi me jeene ke tareeqe to hai seekhe
Par saleeko se kyun rakha itna faasla hai?
Likha jaega ziada i suggest you mere Peechay bol
1 hee jeeta hum me se hum sab kab mil ke jeetay bol?
Kuch na kuch to seekhega hee jitni meri geetay khol
Ana haari junge to me seekha bolna Meethay bol
Seedhe bol ke tu fan nahi hai mera
Tu message karta hai taake gaana share kardu tera
Agar fan hota mera to na faide ke lie cheekhta
Talent meri jaan nahi mohtaaj kisi bheek ka
Gaano se nahi matlab inhe matlab mere views se
2 3 hazaar hote to ye ghanta bhi nahi poochte
Bante mere aage jese dhule hue doodh se
Mera ek hee khuda tum insaano ko kyun poojte
Roz khushi baant ke roz zamaane se rooth'te
Audios se khauf to kiya hoga videoshoot pe?
Jitna bhi lamba ho hum sar pe tere kood de
Marzi ke malik apan chalte apne mood pe!

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists