Ab shiddat-e-gham main massnuyi* araam sahara deta hai, Ya dost tasalli dete hain, ya jaam sahara deta hai, Aye dost mohabbat ke sadmey tanha hi uthaaney parte hain, Rehbar to is rastey mein do'gaaam sahara dete hain, Woh naam hain sirf is dunya mein ik saaqi* ka ik yazdaan ka, Ik naam pareshaan karta hai ik naam sahara deta hai, Tufaan ki chatoon* to dekho, saahil ki koi umeed bhi hai, Malaah* ki surat to dekho, nakaam sahara deta hai, Hum ko bhi Adam kuch qayel kar kya lutf is bad'masti main, Kyaa aag sakoon pohanchati hai, kya jaam sahara deta hai.