Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang Maine samjha tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat Tera gham hai to gham-e-dahar ka jhagdaa kya hai Teri surat se hai aalam mein baharon ko sabaat Teri aankhon ke sivaa duniya mein rakkha kya hai Teri aankhon ke sivaa duniya mein rakkha kya hai Tu jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaye Yoon na thaa maine faqat chaahaa thaa yoon ho jaye Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang Anaginat sadiyon ke taariq bahimanaa talism Resham-o-atlas-o-kamKhwaab mein bunwaye hue Jaa-ba-jaa biktey hue koochaa-o-bazaar mein jism Khaak mein lithade huye, khoon mein nahalaaye huye Jism nikale huye amaraaz ke tannuuron se Piip behti hui galte hue naasooron se Laut jaati hai udhar ko bhi nazar, kya keeje Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya ki jiye Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya ki jiye Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke dukh ke sivaa Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siva Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang