Moti ho, ik sheesha, jaam ho ki dur Jo toot gya, so toot gaya Kab ashkon se jud sakta hai Jo toot gya so choot gaya!! Tum na-haq tukdey chun-chun kar Daman mey chupaye bethe ho Sheeshon ka masiha koi nahi Kya aas lagay beithe ho Shayad ki in tukdon may kahin Woh saghar-e-dil hai jis mey Sud naaz se urta karti thi Sehba-e-gham-e-jana ki pari Sehba: red wine Phir duniya walon ne tum se Ye saghar le kar phod dia Jo ma'e thi baha di matti mey Mehman ka shehpar tod diya Shehpar: tail feather Ye rangiin rezain hain shayad Un shokh biloori sapnon ke Biloori: birght Tum mast jawani mein jinse Khilwat ko sajaya kartey the Khilwat: privacy/solitude Naadaari, daftar, bhookh aur gham Un sapnon se takratey the Be-raham tha chau-mukh pathraav Chau mukh pathraav: stoning from all four sides Yeh kanch ke dhanchey kya kartey? Yaa shayad in zaron main kaheen Moti hai tumhari izzat ka, Who jis say tumharay ijiz pay bhi Ijiz: humility Shamshaad qadon nay raqs kiya, Shmashaad: tall statured Is maal ki dhun may phirtay that buhut, Taajir bhi buhut, rahzan bhi kayii, Rhazan: dacoit/ robber Hai chor nagar, yaan muflis ki, Gar jaan bachi tau aan gayi Ye sagar sheeshe, laal-o-guhar Saalim hon to qeemat paate hain Saalim: whole/ complete Yun tukday tukday hon to faqat Chubhte hain, lahoo rulwaate hain Yaadon ke girebaanon ke rafoo Girebaan: collar Rafoo: the technique of darning Par dil ko guzar kab hoti hai? Ik bakhiya udheyrda, ek siya Yun umr basar kab hoti hai? Bkhiya udhedna: to remove a stitch (in a fabric) Iss kargah-e- hasti mein jahan Kargah: worskhop Ye sagar sheeshay dhaltey hein Har shae ka badal mil sakta hai Sab daaman pur ho saktey hein Jo haath bardhey yawar hai yehan Jo aankh uthhey woh bakhtawar Yaawar: helping/ supportive Bakhtawar: lucky Yaan dhan daulat ka ant nahin Honn ghaat mein daaku lakh magar Kab loot jhapat se hasti ki Dukaanein khaali hoti hein Yaan parbat parbat heerey hein Yaan saaghar saghar moti hein Kuchh log hein jo iss daulat par Pardey latkaatey phirte hein Har parbet ko, har saghar ko Neelam chardhaatey phirtey hein Kuchh woh bhi hein jo ladh bhird kar Ye pardey noch giraate hein Hasti ke uttthai giron ki, Geer: conqueror Har chal uljhaaye jatey hein In donon mein ran pardta hai Ran: battle Nit basti basti, nagar nagar Nit: always Har basti ghar ke seene mein Har chalti rah ke maathe par Ye kalak bhartey phirte hein Kalak: blackness/ stigma/ soot Woh jot jagate rehte hein Ye aag lagatey phirtey hein Woh aag bujhate rehtey hein Sab saaghar sheeshay laal o guhar Iss baazi mein bhad jaate hein Uttho sab khaali haathon ko Is ran say bulawe aate hein