Ki jab mai had se agey badh gaya tha ashiqi me Ya'ani zindagi ko ley raha mazaq hi main Phir mazaq hi me mil gaya sab khak hi me Chhu kar aya manzilein to tanha tha main wapsi mein Jaise phool torey honge tumne jholi bharr ke Main wo phool jo k reh gaya tha shaakh hi me Jaise khuwab hi me khuwabgaahein ankh hi me Pal se pal me kya hua tum reh gaye bass yaad hi me Ek Sawal Machalta hai mere dil me kabhi Tujhe main bhool jaa'on ya tujhe main yaad karun Tujhi ko soch ke likhat hu jo bhi likhta hun Ab likh raha hun to phir q na ek sawal karun Main iss sawal se ghum ko badal do'on khushiyo'on me Par in bejaan si khusiyo'on se kiya kamaal karun Par ab sawal bhi kamaal tu sambhaal ley filhaal Ye sawaal bichaa jaal kiya me chaal chalun Chaal chal tu apni main tujhe pehchaan lo'onga Main apni mehfilo'on me sirf tera hi naam lo'onga Tujhe pasand hai dheemah lehjaa aur bass khamoshiya'an Main tere khaatir apni khud ki saansein tham lo'onga Kya tere saarey aansu mere ho sakte hain Aisa hai to tere khaatir hum bhi roo saktey hain Mere khatir mere rone par bss tum hans dena Ek bar tere muskurahat ke peechey hum sab kuch kho skate hain Kya meri mohabato'on ka koi hisaab nahi hai Kyun tere ankho'on me mere liye koi khuwaab nahi hai Tujhe kya hi karun ghumzada ab jane de Key tere pass mere piyaar ka jawaab nahi hai Kitni muddatein hui hain tumne khat kyun nahi bheja Gaa leta hun tere liye mausiqi nahi hai pesha Aaney ki khabar hi nahi teri ab Ab kya muasamo'on se puchu tere aaney la andesha Ankho'on me aanso'on nahi hai Kahan hai tu, Kahan tu nahi hai Dil ko ye ab jaan'na hi nahii Bas tum chale aaoo Tu hai kahaan? Khuwab'on ke is shehar me mera dil tujhe dhuundta Dhuundtaa Arsa hua Tujhko dekha nahi tu na jaane kahan chhup gaya Chhup gaya Aao phir se hum chalein Thaam lo ye haath, kar do kam ye faslay Na pata ho manzilon ka, na ho rastey Tu ho main hu baithein dono phir hum taaron ke talay Na subah ho phir, na hi din dhale Kuch na keh sakein, kuch na sun sakein Baatein sari woh, dil me hi rahein Tum ko kya pata hai kya ho tum mere liye 'Kehkasha' ho tum 'Kahaniyon ki pariyon' ki tarhan ho tum Mujh me aa sake na koi is tarhan ho tum Ho 'Yaqeen' tum mera ya phir 'Gumaan ho tum mmmmmmm 'Aashiyan' ho tum Main 'Bhatka sa musafir' aur 'Makaan' ho tum Meri manzilon ka ek hi 'Raasta' ho tum Dhuundta hai dil tujhe bata kahan ho tum? mmmmmm Ho jahan kahin bhi Aao paas taake aansu mere tham sakein Yaad aarahe ho tum mujhe ab har lamhe Aisi 'Zinadagi' ka kiya Jo tum 'Zindagi' me hoke meri 'zindagi' na ban sake Sochta rahun ya bhuul jaaun ab tumhe? Tum mil hi na sakogi to phir kaise chahun ab tumhe Tere saare khuwab pal me jod denge Jisme tu hi na basega phir wo dil hi tod denge Chhod denge wo shehar, ke jisme tum na hoge Tuut jayenge makaan, wo saare hasraton ke Gujre pal jo saath tere Wo pal hain bas sukoon ke Mil lo ab tum is trah ke phir nahi miloge Tu hi tha saath me mere Kaise main jiun ga akele Taare gingin ke hogayai hai subah Tu hai kahan? Khuwabo'on ke is shehar me mera dil tujhe dhuundta Dhuundta Arsa hua Tujhko dekha nahin tu na jaane kahan chhup gaya Chhup gaya