Ya Ali (AS) Ya Hussain (AS) Ya Ali (AS) Ya Hussain (AS) (Allah) x3 (Allah hi Allah) x4 Tu hi tu Allah Allah tu hi tu Allah Tu hi tu Allah Jo mohammad ka wafadar he Allah uska, Karbala uski, najaf uska, madina uska, Zindagi he to bas Ali ki tarha, maut aye to ya hussain hussain (Ya hussain) x6 (Ya Ali ya hussain) x4 Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga (Ya Ali ya Hussain) x3 Pehlu mein ya Ali he to (godi me ya Hussain) x2 Loho qalam ka ilm ka sadiq he ya Ali Jab tak khuda ka mulk he (malik he ya Hussain) x2 Ye ilm ka dar sabr ka ghar khatm na hoga (Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2 Salmano abuzar se (wafaadar milenge) x2 Qasim yahan mesum se jigar taar milenge Jeene ke liye marne pe (tayyar milenge) x2 Kat jaye zaban ishq magar khatm na hoga (Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2 Hubbe ali he dil mein (masheere hussain he) x2 Who baadshah aur ye wazeere hussain he Aisa wazeer he ke (faqeere hussain he) x2 Ta hashr sifarat ka safar khatm na hoga Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga (Ya ali ya hussain) x3 Aisa ke panjatan ka (sawaali bana diya) x2 Nade ali ne isko jalali bana diya Rumale fatema ne (missali bana diya) x2 Ye dar he ataaon ka ye dar khatm na hoga (Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2 Ay Muhammad ke khuda Ye tera ishk hi tha Jiski parwaaz juda (Ye tera ishk hi tha) x2 Panjetan se jo mila Ishq ka tere safar Ishq haidar me mila Kabhi mesum kabhi miqdad o abuzar me mila Kabhi salman ke dil mein kabhi qambar me mila Aur maqtal me jo dekha to bahattar me mila (Laike ishq he tu, tera jalwa har su) x2 Ay Mohammad ke khuda Ishq tune bhi diya Aur Muhammad tera Jiski chahat ke liye Ye jahaan khalq kiya (Who tera ishq hi tha) x3 (Ay mere rabbe jahaan) x2 Ik ajab ishq huwa Who sare karbobala Tera ashiq hai khara Khun mein duba huwa De chuka lakhte jigar De chukka noore nazar De chukka sara woh ghar Aur khanjar ke tale Us ka sajde mein he sar Na namaazi aisi Na ashiq ka kaleja aisa Noke neza pe bhi karta hi raha zikr tera (Ya ali ya hussain) x3 Daste hussain o panjae mushkil kusha ali Ye Mustafa ki jaan woh Allah ka wali Donon ka martaba bhi do alam pe he jail Donon ka is kamaal se sajda ada huwa Haider se ibteda huwi ya khatima huwa (Ya ali ya hussain) x3 Ab pushte zuljana pe maula sawaar he Pehlu mein khun roti huwi zulfiqaar he Hum rah zuljanah bhi bohot dil figaar he Qurban zuljanah pe aur zulfiqar par Chalte the donon marziye parwardigar par (Ya ali ya hussain) x3 Bachpan se saath saath hi rehta tha zuljanah Be misl o be nazir tha aala tha zuljanah Kyunkar na ho rasool ne pala tha zuljanah Pehla sawaar to nabiye kirdigaar he Aur doosra ye doshe nabi ka sawaar he (Ya ali ya hussain) x3 Chalta tha dekh dekh ke shahe zaman ki aankh Parti thi yun harif pe us sab shikan ki aankh Larzi ho jese halq me shamshir zan ki aankh Teghaayi jispe urh kabhi baar urhte chalgaya Wo sar gira gayi to ye lasha uchalgaya (Ya ali ya hussain) x2 Chal tere saath saath zara mera rang dekh Is kaas mei laraayi ka mera bhi dhang dekh Raah-e-hayaat fitro(n) pe karta hu(n) tang dekh Mana tu zulfiqaar hai marhab shikaar hai Leykin ye dekh kon ye mujhpar sawaar hai (Ya ali ya hussain) x3 Chamka phira Jamaal dikhaya tha har gaya Teero(n) pe urh ke barchiyo(n) mei bekhatar gaya Bar haq kiya sabo(n) ko saro(n) par guzar gaya Aya jo zad mei iski ajal aagayi usse Is saath koi zarb zamee(n) kha gayi usse (Ya ali ya hussain) x3 Heete wo zuljanah mei surat hussain ki Qudrat baghor zad ki thi surat Hussain ki Chehre udaas Sakina hai haybat Hussain ki (Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas mei Aisi to jang ham na lare mulk-o-yaas mei (Hussain ya hussain) x3 Dam le hawaa mei eik nafas bas Hussain bas Garmi se haanfta hai faras bas Hussain bas Waqt-e-namaaz asr hai bas bas Hussain bas (Hussain ya hussain) x3 Qarboos pe tharra ke gire hazrat-e-waala Jibreel ne qadmo(n) se rikaabat ko nikala Aur haatho(n) ko garden mei yadullah ne daala Dekha jo zuljanah ne ghash khate zee(n) par Bas beyth gaya dekh ke ghutno(n) ko zamee(n) par Quran rehl-e-zee(n) se sar-e-farsh gir para Dewaar-e-kaba beyth gayi arsh gir para (Hussain ya hussain) x3 Ay arz-e-nainawah mera bacha hai be gunaah Ay nehr-e-alqamah mera bacha hai be gunaah Ay zulfiqaar tu hi bachaale hussain ko Ay zuljanah tujhse mei luti hussain ko (Hussain ya hussain) x3 Samjhi Sakina baba ko laaya hai zuljanah Sar khaak per patak kar gira wo rahwaar Sayyedaniyo(n) bichar gaya mujhse mera sawaar Jaldi utaarlo ye tabarruk ye zulfiqaar Are katta hai waa gulu-e-shahenshaah-e-naamdaar Zahra qareeb-e-laash-e-pisar khaak urhaati hai Are khaymo(n) mei jaawo, lutne ko foj aati hai Hussain ya hussain