Ya Hussain Maabood Taqabl Mina Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Aye fauj e ashqya mera Islam rahy ga Quran rahe ga mera paigham rahy ga Haaye Hussaina Jab zohar tak Hussain bahatr ko ro chuke Akbar ko ro chuke Ali asghar ko ro chuke Ek do pehar main ba wafa lashkar ko ro chuke Phir fauj e bad nasab se mukhatib huye Imam Hujat tamam karta hoon sun lo mera payam Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Farmaty the Hussain k main bay qusoor hoon Roshan hai tumpe Shashme Payambar ka noor hoon Faaqon se main nidhal hoon Zakhmon se choor hoon Zakhmon pe zamkhm Piyas kis shidat main khaaon ga Lakin main Naana jaan se wada nibhaon ga Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Daria ko tum ne cheen lia main ne kuch kaha Paani dikha dikha ke piya main ne kuch kaha Daaghat bare jawan ka dia main ne kuch kaha Haq per hoon mere Haq main sina bol rahi hai Sun lo woh azan meri zaban bol rahi hai Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Maqsad hai la ilaha ki baqa aur kuch nahi Wada ho zair e taigh wafa aur kuch nahi Iske siwa labon peh dua aur kuch nahi Raazi ho mujhse mera khuda Chahta hoon main Main hoon Hussain s Sabka bhala chahta hoon main Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Maqsad nahi hai jang humara khuda gawah Khat bhej ke hai tum ne bulaya khuda gawah Bejurm tumne mujhko satya khuda gawah Khanjar tale buland main takbeer karun ga Apny lahu se main khaak peh tehrir karun ga Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Main ab karun yazeed ki baiat nahi nahi Badlu ajal jis se shariyat nahi nahi Jeenay ke badlay choru shahdat nahi nahi Tum kaun ho naqab rukhon se hataon ga Main kaun hoon yeh nauk e sina per bataonga Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Aa kar dar e khayam peh Zainab ko di sada Aa aye meri ghareeb Behan aa qareeb aa Le akhri salam Hussain e Ghareeb ka Maqsad hai mera kia yeh sabq tujh ko yaad hai Meri shareek e kaar mujhe etimaad hai Main rahoon ya na rahoon Mera islam rahe ga mera paigham rahe ga Main rahoon ya na rahoon Zainab tarap kar boli ke bahiya samjh gai Bhaiya tere ishaare ko behna samjh gai Main kia teri Ghareeb Sakina samjh gai Khutbon se Main hilaon gi Qasar e yazeed ko Marne na doongi ab main kisi bhi shaheed ko Main rahoon ya na rahoon Halmin nasir yansurna Utha ghubaar e zulm karkti hain bijliyan Zeen se giray Hussain uthi surkh aandhiyan Na gah sar Hussain ka aya sar e sina Quran suna ke syad e mazloom ne kaha Lo Naana jaan wada wafa main kardia Maabood taqabal minna Aye sarwar o rehan yeh lamha ajeeb hai Naizy pe lab kusha yeh Hussain ghareeb hai Zainab tumhari shaam e ghareeban qareeb hai Sab kuch tere hawaly hai ab tum sambhalna Apna khayal rakhna Sakina ko paalna ...