Dil main ishq e Nabi (SAW) ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe, Zindagi ka maza hey kay har saans say, Ya Muhammad Muhammad (SAW) nikalta rahey. Dil Main Ishq-e-Nabi Kee Ho Aesee Lagan…. Ya Muhammad Muhammad (SAW) mein kehta raha, Noor kay motion ki lare ban gaee, Ayaton sey milata raha ayatayn, Phir jo dekha to Naat e Nabi (SAW) ban gaye. Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay, Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee, Jab tabasum kiya chandani ban gaee. Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen, Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya, Sarwar e ambiya ki galee ban gaee. Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi, Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi. Sab say saim zamanay main mazoor tha, Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha, Un ko reham agaya merey halaat par, Meree azmat meree beybasee ban gaee. Dil mein ishq e Nabi (SAW) ki ho aisi lagan, Rooh tarapti rahay dil machalta rahay, Zindagi ka maza hai kay har saans say, Ya Muhammad Muhammad (SAW) nikalta rahey.