Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai Jo Rab-e-Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai Kal Pul Se Hame Jisne Khud Par Lagana Hai Zahra Ka Wo Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai Aao Dar-e-Zahra Par Phehlaye Huwe Daaman Ye Nasle Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai Purnoor Si Rahein Hain Ghumbad Pe Nighein Hain Jalwe Bhi Anokhein Hain Manzar Bhi Suhana Hai Izzat Se Na Marjaye Kyun Naam-E-Mohammad Par Yunhi To Kabhi Hamne Duniya Se To Jaana Hai Ye Keh Ke Dar-E-Haq Se Li Maut Main Kuch Mauhlat Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai Mehroom-E-Karam Isko Rakhiye Na Sare Mehshar Jaisa Hai Naseer Aakhir Saail To Purana Hai