Kishore Kumar Hits

RISHIG - Dooriyaan lyrics

Artist: RISHIG

album: Dooriyaan


Ye dooriyaan
Jo tere mere darmiyaan hain
Kyu hoti kabhi kam nahi
Ha maana hum paas hai
Par saath hum nahi
Jo aankho mein tu rahi
Toh ankhein hain nam kahi
Kyu aankhon se jaati kabhi
Barsaat tham nahi
Ye dooriyaan...
Haan...
Ye dooriyaan...
Haan...
Kya farak hai tujhme aur sitaaro mein
Dono ho meri aankho ke saamne
Dono ko chhu bhi nahi hu paata main
Dono se mere kaafi hain faasle
Rone se nahi suljhengi baatein ye
Roko bewajah aana yu paas mein
Pehle ek thi manzilein
Ab woh bhi nahi saath hi badle hain raaste
Kyu rahein hum khudke khafa?
Kyu ho na sake hum juda?
Kyu seekhe jeene ke tareeke?
Jab jeena hi hai ek saza
Tu hi bata
Kyu tere saath
Rehna raha hai mumkin nahi?
Kya reh paunga main tum bin kabhi?
Afsos hai dono ko
Par kyu koi pehle maangega maafi
Ab jo hua jaane do
Kyu barbaad karein waqt jo bhi bacha hai baaki
Ab juda hone ko
Do dilo darmiyaan hain dooriyaan kaafi
Aaj vahi meri jaan le
Jo kabhi meri jeene ki wajah thi
Ye dooriyaan
Jo tere mere darmiyaan hain
Kyu hoti kabhi kam nahi
Ha maana hum paas hai
Par saath hum nahi
Jo aankho mein tu rahi
Toh ankhein hain nam kahi
Kyu aankhon se jaati kabhi
Barsaat tham nahi
Jab tu mere dil mein hi nahi hai
Toh fir juda hona hi sahi hai
Yahi toh batati humein yeh dooriyaan
Zindagi saza ban gayi hain
Raahein bhi juda ho rahi hain
Yahi toh batati humein yeh dooriyaan

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists