Aasmaan bhi haarta hai Zameen pe waqt guzaarta hai Phir se unchaiyon ki chah mein Zindagi jo toot'ti hai Neend saari roothti hai Honsla mil hi jaata hai raah mein Phir udega dil unn udano mein Phir ladega dil do jahano se Jeetne ke liye o. Jeetne ke liye... Jeetne ke liye... Kehte hain yeh iraade sabhi Toota hoon main bikhra nahi Dhoop mein jo pighal jaaye Main woh barf ka tukda nahi Na darega dil inn tufano se Phir ladega dil do jahano se Jeetne ke liye o. Jeetne ke liye... Jeetne ke liye... Din mein dekhi raate kayi Hone lagi subah nayi Andheron ki dararon se ab Dikhe lagi hai roshni Na darega dil imtihaano se Phir ladega dil do jahano se Jeetne ke liye o. Jeetne ke liye... Jeetne ke liye...