Kishore Kumar Hits

Ashit Desai - Deewaren- Unity Song lyrics

Artist: Ashit Desai

album: Rashtrapita Mahatma Gandhi


Ek kamre mein.
Laal band hai.
Ek kamre mein peela.
Ikk kamre mein.
Hara phansa hai.
Ikk kamre mein neela
Ek kamre mein.
Ruka gulaabi.
Baingni ke intezaar mein.
Deewaren shaayad.
Badi ho rahi.
Rangon ke vyavahar mein.
Kaise khelein hum holi.
Kaise rang de tujhe pyar se.
Jab tak khud hum naa jodein.
Jo tut raha.
Deewar se.
Toh aao.
Geet gaayo.
Apne baayein haath ko.
Daayein se milaayo.
Toh aao.
Haath badhaao.
Dilon ke taale khol do.
Ye deewaren giraao.
Oooo ooo.
Kisne ye niyam banaye.
Kisne hai humko sikhaya.
Kisne humko aadi kaal se.
Farak ka farak padhaya.
Kisne hai humko baanta.
Kisne faayada dikhaya.
Kisne humko khud chal kar.
Apni faansi par latkaaya.
Apne hi haath kaat rahe.
Kisi aur ki manzuri pe.
Rang ye jo dhaange simat gye.
Tutenge hum kamzoori se.
Toh aao.
Geet gaayo.
Apne baayein haath ko.
Daayein se milayo.
Toh aao.
Haath badhaao.
Dilon ke taale khol do.
Ye deewaren giraao.
Deewarein giraao.(Repeat 8 Times)
Chalo modd dein chor raahon ko.
Nafraton ko dein shikast.
Meetadein jhoothi duriyan.
Rangon ko karein swatantra.
Khul ke jiyein sab sath mein.
Ghar apna khud sawaarein.
Ahem ko apne chod kar.
Sath baithein kuch waqt guzaarein.
Kuch waqt guzaarein.
Jo ye sare rang ab mil jaayeinge.
Khushi ke geet ban jaayeinge.
Kudrat ne tha jaisa banaaya.
Wahi shwet fir bann paayeinge.
Phir khelenge khul ke holi.
Rang denge tujhko pyar mein.
Jaane kiyu ab tak rukhe rahe.
Ek dujhe ke intzaar mein.
Toh aao.
Geet gaayo.
Apne baayein haath ko.
Daayein se milayo.
Toh aao.
Haath badhaao.
Dilon ke taale khol do.
Ye deewaren giraao.
Deewaren giraao.
Apne baayein haath ko.
Daayein se milayo.
Toh aao.
Haath badhaao.
Dilon ke taale khol do.
Ye deewaren giraao.
Deewaren giraao.(Repeat 2 Times)

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists