Mara mari, yeh toh pagalo ka daur nikla Kamyabi tole kisko kisse khauf kitna Kya zara si kardi kalko maine galti Ki sunli apne dil ki? Ab toh har taraf hai raub dikhta Was born different, par sehlu isko aur kitna? Locked in my mind's prison, main born sinner Cole taught me we choose from what we are given But please God forgive me, agli baar nahi pyaar chunna Kya hi karta, jaisa dekha waisa seekhta tha Nanhe paudhe ko zeher bhi dedo kheench jaata Aur main toh beta hu us baap ka Jo la deta khilaune har uss shaam jabki daantna ya peetna tha Jitna jeeta utni zindagi se aati ghinn I'm not suicidal, bas khulke kehdi baat dil ki Suna mere sheher mein nafraton ka trend chala hai Somebody dissed me, I wishеd him well and paid a bill Kash (Kash, kash) Inme akal hoti zara si, dilon mein khot Maila hai paani vichaaron ka, aks na dikhе zara bhi Note-on mein dhundte fire azaadi Shaitaan dimaag pe haavi Sabhi ke aakhon mein lage hai taale, andhero mein khojte fire yeh chaabhi I got a question Chaabhi toh ek nahi, chaabhi anek hai Why do they feed on their family? Killing to prosper, selling their dream I sit and I ponder, sabhi toh vehem hai I'm praying to God, tu dikha de raasta, utha de neend se hamein We live in a dream. ho bhale ishaare peeche (Uh) Mera yeh sheher hai khwaabon ka kaatil Hath range huwe laal Kalam uthake rakha maine panno pe Yeh sapne huwe sakaar Yaha zameen ko khodoge aaj, milenge artist dafan hazaar Likha yeh gaana unhi ke khaatir Bhale hi cheen lo mere se saans Jaan lele kalakaar ki Yeh kalah toh aati nahi baaz Likhe hai gaane 5-we class se Haar nahi mana main aaj bhi, I done survived this shit for a while Aaj huwa poora 21-wa saal Gote lagadi iraadon mein, kinaron ki na talash Apne gam se mera apna gehra naata Kehna chahta par shayari likh jaata hu Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu Apne gam se mera apna gehra naata Kehna chahta par shayari likh jaata hu Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu Ye us likhaari ko Jis ke ghar me chaltay faakay Wo ab nai toota Kalaa se umeed baandhe Ye us likhaari ko jo asool toray dunya ke Seena rakhay chora kahe teri deals nahi chaiye Ye us likhaari ke liye jo tasveerain khenchta Ye us likhaari ke liye jo rooh nahi bechta Jisse ke nahi chaiye teri nokri hazaaro ki Wo daakhil hona chahta Mehfil me kalaakaron ki Ye us ke liye jo haar nahi maanta Jo dekhta nahi dusron ko apni jaghan jaanta Khuddaar wo Wo dhool nahi chaat'ta Hawaa ka rukh dekh ke us rukh me ni bhaagta Wo maangta hai izzat tumse maangta nai note wo ye Ye binti hai meri Kalakaar ko izzat do Likhta fasaane jese harf ki rawaani Shaayar hote saare faani reh jaati bas kahaani Uski rooh na jaane kis sheher me choot gai Apna shaoor apni aqal usse loot gai Zaahir aur baatin me uske nai parda Dunya se be-khof wo bas khud se hi darta Wo tor chuke kitne hi rishte o naate Wo chahta nai log jo na usse samajh paate Wo rakhta hai yaad har zakham ke naqqaash ko Daagh hain siyaahi ke par dil ka hai saaf wo Farishta nahi usne shetaan sang tori roti Usse tere mere jese baton ki na fikar hoti Dost hai khuda ka Wo shetaan se bhi batain karay Kalakaar Ham jese na wo faraq karay Khol deta saamne dunya ke kul-kamaai Usse sikkon ki khannak kabhi raas na aai Par kya kare wo bhi? Dunya se pareshaan wo Rok lete jaghan jaghan jaibain iski chaan lo Dekho kya hai is ki qaddar lage kitna bhaao iska? Kheencho iska chamra chun chun ke hunnar khao iska Zinda nahi chorna ye kese hamse mukhtalif Wo apni kahaani ke unwaan leta khud hi likh Wo jaanta wo gir raha hai gardish ke mukhaalif Wo janta wo mar raha To kaffan rakhay sath me Tum daal dena mitti Uski bechaini ko yun raahat bhi nahi milni Usne aas paas walon ke khwaabon ka kiya khoon To tum pe bhi waajib ke cheeno uska sakoon Usey taang do saleebon pe Ya chowk me hi chor do Ke tum sab aik jese Bas aik hi tha faasadi wo Shaoor aur aqal jesi ghatiya karta batain Uske ghar walon se kaho ke boriya bistra baandhay Tum aman ke rakhwale unhe choro ge nahi sheher me Tum maar doge Bullah ya Mashaal phenko neher me Jab aajae selaab tere ghaar ki dehleez pe To kaho haara kalaakaar aur dunya ye jeet gai Par andar hi andar ye tu bhi hai waakif Ke tere jese log hi ye sheher dubaa gaye Laanat hai, laanat hai Apne gam se mera apna gehra naata Kehna chahta par shayari likh jaata hu Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu Apne gam se mera apna gehra naata Kehna chahta par shayari likh jaata hu Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu