Dil ki aadat hai karta vo zyada kam kuch na lage Ankahi baatein sun leta phir jhoothi kahaani likhe Aankhir yun daataa, maine itna samjhaya, Dil ab kuch na bole Kaali gehrai itni hai bhaayi, Dum tode zid na chode Tum dil ko bolo na Na itna samjha kare Aisi kya naarazi? Khud mein hi uljha rahe Tum dil ko bolo na Na itna samjha kare Chubti ho baatein agar Zaahir karne se na dare Aisi kya hai manmaani jo unchaaha mod chune? Jharne sa behne ka man ho phir bhi dil yun thehra rahe Behne do yaadein, kadvi si baatein Main na harz karungi Paheli se shabdon, bikhre jazbaton Ko bhi suljha dungi Bolo na khulke Baatein jo dil mein Bolo na khulke Baatein jo dil mein Bolo na khulke Baatein jo dil mein Bolo na khulke Baatein jo dil mein Aisi kya naarazi? Khud mein hi uljha rahe Tum dil ko bolo na Na itna samjha kare Chubti ho baatein agar Zaahir karne se na dare