Zehra ...zehra... zehra ...zehra... zehra Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qabr e zehra ali ro rahe hain Ya zehra ya zehra Tumhari musibat bhulauga kaise Me bacho se aansoo chhupauga kaise Tumhe yaad kar ke jo roye ge bache Me bacho ko apne manauga kaise Tasawur me zehra se karke ye batain Jhukayr sar apna ali ro rahe he Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qabre zehra ali ro rahe he Ya zehra ya zehra Kabhi aansuo ko chhupati he zainab Kabhi bhaiyo ko uthati he zainab Kabhi ghar aangan me ati he zainab Kabhi maa ke hujre me jaati he zainab Kabhi ro ke dukhiya ye karti he noha Utho amma fizza ali ro rahe he Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qabre zehra ali ro rahe he Ya zehra ya zehra Utho shahzaadi hua he andhera Tumhare bina wo kaha so sake ga Me jauga wapis to bolega baba Meri maa kaha he bula do khudara Akele jala kar charag aansuo ka Sare qabre zehra ali ro rahe he Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qabre zehra ali ro rahe he Ya zehra ya zehra He shehre nabi me sama karbala ka Na koi tassali na koi dilasa Taraste hain ghar me yatimane zehra Koi aa ke deta nahi inko pursa Kahi mere mola ali ro rahe he Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qbre zehra ali ro rahe he Ya zehra ya zehra Kabhi iss jagah ko na bhule ge mola Ye kucha he maqtal dile murtaza ka Yaha se na guzre Hassan baade zehra Sitamgar ne mara tha yu taziyana Mohammad ki beti zamin par giri thi Yaha bethe tanha ali ro rahe he Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qabre zehra ali ro rahe he Ya zehra Ya zehra Wo lamhe hain mushkil ali ko bhulana Wo pehlu pe jalte hue dar ka girna Wo aanho ka bharna wo zakhmo ka risna Shahadat wo mohsin ki zehra ka rona Taqallum abhi tak isi bekasi par lahad me bhi mola ali ro rahe he Andhere andhere yatimo se chhup kar sare qabre zehra ali ro rahe he Sare qabre zehra ali ro rahe he