Rabbana Ya Rabbana, Rabana Ya Rabana, Rabana Ya Rabana, Rabbana Ya Rabbana. Ya Elahi Har Jagha Teri Ataa ka Saath ho, Jab Paray Mushkil Shahe-Mushkil Kushaa ka Saath ho. Ya Elahi Bhool Jaaon Naz'aa ki Takleef Ko, Shaadi yay-Deedar-e- Husn-e-Mustafa Ka Saath ho. Ya Elahi Gor-e-Teera Ki Jab Aaaye Sakht Raat, Unkay pyaaray Mon ki Subh-e-Jaan fiza ka Saath Ho. Ya Elahi Naama-e-Amaal Jab Khulne Lage, Aib Posh-e-Khal Saattar-e-Khata ka Saath ho. Ya Elahi Garmiye Mehshar say Jab Bharke Badan, Daman-e-Mehboob ki Thandi Hawa ka Saath Ho. Ya Elahi Jab Zubaan Bahar Aaye Pyaas say, Sahib-e-Kothar Jood-o-Sakha ka Saath Ho. Ya Elahi Jab Hisab-e-Khanda-e-Be Jaa Rulaye, Chashm-e-Giryan-e-Shafi-e-Murtaja ka Saath ho. Ya Elahi Jab par-e-Mehshar Main Shor-e-Daro Geer, Aman Dene Wale Pyaare Paishwa ka Saath ho. Ya Elahi Sard Mori Par Ho Jab Khursheed-E-Hasr, Sayyed-e-Be Saaya ke Zille Liwa ka Saath Ho. Ya Elahi Jab Chal-e-Tareek Rah-e-Pul Sarat, Aftab-e-Hashmi Noor Ul Huda ka Saath Ho. Ya Elahi Jab Sar-e-Shamsheer Par Chalna Pare, Rabbi Salllim Kehne Wale Gham Zada ka Saath ho. Ya ELahi Jo Duaein Naik Hum Tujhse Karain, Qudsiyon ke Lab se Aaami Raabana ka Saath ho. Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa'e, Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho. Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana