Kia se kia bana diya Insan se haywan Farishta tha main Shaytan bana diya Thi ik khwaish meri bhi to Gham saray laylo khushi ab mujhay do Teri khabhi main nay na mani In naymaton ki kadar na jani Maan k chalnay walay bohat thay Phir kyun insan bana diya Pursukon thi yah kainaat Kyun yah jahan bana diya Har bar socha kidhar jaon ga Socha nahi tha k mar jaon ga Aakhari sancs tak larta raha main Janay yah kia karta raha main Ab jab kuch bhi nahi raha hai Muj ko kyun is ka gham hoa hai Izat yah shorat yah paisa mera Sab kuch is dunya main hi to raha hai Kia se kia bana diya Insan se haywan Farishta tha main Shaytan bana diya