Dukh sukh tha ek sabka Apna ho ya begaana Ek woh bhi tha zamaana Ek yeh bhi hai zamaana Dukh sukh tha ek sabka Apna ho ya begaana Ek woh bhi tha zamaana Ek yeh bhi hai zamaana Dada hai aate the jab Mitti ka ek ghar tha Choron ka koi ghatka Na dakuon ka dar tha Khaate the rookhi sookhi Sote the neend gehri Shaamein bhari bhari thi Aabaad thi dupehri Santosh tha dilon ko Maathe pe bal nahi tha Dil mein kapat nahi tha Aankhon mein chhal nahi tha Hain log bhole bhale Lekin the pyaar wale Duniya se kitni jaldi Sab ho gaye ravaana Dukh sukh tha ek sabka Apna ho ya begaana Ek woh bhi tha zamaana Ek yeh bhi hai zamaana Abba ka waqt aaya Taaleem ghar mein aayi Abba ka waqt aaya Taaleem ghar mein aayi Taaleem saath apni Taaza vichaar laayi Aage rawayaton se Badhne ka dhayaan aaya Mitti ka ghar hata to Pakka makaan aaya Daftar ki naukri thi Tangah ka sahara Maalik pe tha bharosa Ho jaata tha guzara Paisa agar chekam tha Phir bhi na koi gham tha Kaisa bhara poora tha Apna gareeb khana Dukh sukh tha ek sabka Apna ho ya begaana Ek woh bhi tha zamaana Ek yeh bhi hai zamaana Ab mera daur hai yeh Koyi nahi kisi ka Ab mera daur hai yeh Koyi nahi kisi ka Har aadmi akela Har chehra ajnabee sa Aansoon na muskuraahat Jeevan ka haal aisa Apni khabar nahi hai Maya ka jadoo aisa Paisa hai martaba hai Izzat wikar bhi hai Naukar hain aur chaakar Bangla hai car bhi hai Zar paas hai zameen hai Lekin sakoon nahi hai Paane ke vaaste kuch Kya kya pada gavaana Dukh sukh tha ek sabka Apna ho ya begaana Ek woh bhi tha zamaana Ek yeh bhi hai zamaana Aye aane wali naslon Aye aane wale logon Bhoga hai humne jo kuch Woh tum kabhi na bhogo Jo dukh tha saath apne Tumse kareeb na ho Peeda jo humne jheli Tumko naseeb na ho Jis tarah bheed mein hum Zinda rahe akele Woh zindagi ki mehfil Tumse na koyi le le Tum jis taraf se guzro Mela ho roshni ka Raas aaye tumko mausam Ekkiswi sadi ka Hum to sakoon ko tarse Tum par sakoon barse Anand ho dilon mein Jeevan lage suhaana Dukh sukh tha ek sabka Apna ho ya begaana Ek woh bhi tha zamaana Ek yeh bhi hai zamaana.