Bekhud kiye dete hain andaaz e hijabana Aa dil main tujhay rakhloon aie jalwa e janana. Kyu aankh milayi thi, kyoon aag lagayi thee Aab rukh ko chupa baithay kar kay mujhay deewana. Zahid meri kismat mein sajday hain usi dar kay Chuta hai na chuthay ga sange dar e janana. Kiya lutf ho mehshar mein main shikway kiye jaoon Woh haskay kahay jayein deewana hai dewana. Saaki teray aatay hee yeh josh hai masti ka Sheshay pay gira sheesha pemanay paymana. Maloom nahin baydam mein kon houn aur kiya hoon Youn apnoon main apna houn baiganoon mein baygana.