Life aur mai hain aik bad combination Aap hain paas tou hay mujh mai thora patience Har Baar hee kyun mai pohonchjaun ghalat station Dur hoon mai Aapse Kahe ye Intuition Mai karna chahun shikway par dil mera kahe bekaar Wo kehte mujhay be adab, par unse ziada mai hoon bezaar Bhala kyun aap ne banaya mujhay aisa k mai manu nahi kabhi haar? Par mai jaanun you the greatest, kyunkay mai ne dekha thora bohot hee ye sansaar Mere paas sab hay phir bhi life meri thori tough hay Thora sa hee waqt hay kya mai karsakta waqf ye? Mujhpe adam ka hee aks hay manay thora sus hay Par kya mai yahan aya sirf ye kehne k aap zabardast hain? Tou hoga mujhpe qarz ye, kyunkay mujh mai thora aapka bhi aks hay Tou yuhin mujhay ata thora ghussa mujhay bhi nahi dikhe ab koi khudsa Par mai tou aap jesa nahi aap har jagah mai bas yahin Kabhi ghabraun soch kar kahin reh na jaun akela Kese banunga mai number one jab ye sabko wo he hay deraha Life aur mai hain aik bad combination Aap hain paas tou hay mujh mai thora patience Har Baar hee kyun mai pohonch jaun ghalat station Dur hoon mai Aapse Kahe Intuition Mujhko bhi hay ehsaas mai nahi aapkay paas Mai hoon thora sa dur aur aapko nahi pasand andaaz Ye mera, sirf andhera aur mai Apki roshni se dur betha hoon Akela Life aur mai hain aik bad combination Life aur mai hain aik bad combination Life aur mai hain aik bad combination Life aur mai hain aik bad combination Mere paas hay jawab har sawaal ka aur sochun mai kyun? Sochun mai kese na dekhun jab hota ghalat tou mai ye phir kese sahun? Kese kahun mai baaten wo saari jo lagta hay mai q chupata rahun? Aur mujhay nai pata, mai sochun q itna, tou kehte wo behtar hay chup he rahun! Mai tou bas chahta hoon karun mai dil ki ye Mere khayalo mai bhi aik milky way Jese ye sab chal raha mere zehn mai Jannat bhi mai dhoondu is khirki se Kese na karun izhaar e khayaal mai? Kitna mai kehleta hoon pooray saal mai? Kisi ko dete aap zindagi kisi se lelete saans Kitno se cheene aap moqay aur kitnay nai atay hain baaz? Kese banun mai phir khaas? Kese banun mai phir khaas? Yah hay yeh aik raaz? Kyun aap ne banaya mujhay aisa k mai manu nahi kabhi haar? Par mai jaanun you the greatest kyunkay aaj mai ne tasleem ki hay apni haar Life aur mai hain aik bad combination Aap hain paas tou hay mujh mai thora patience Har Baar hee kyun mai pohonch jaun ghalat station Dur hoon mai Aapse Kahe Intuition Mujhko bhi hay ehsaas mai nahi aapkay paas Mai hoon thora sa dur aur aapko nahi pasand andaaz Ye mera, sirf andhera aur mai Apki roshni se dur betha hoon Akela