Precet teri beat kitthe aa (Mr. $even) Kahani tumhe kurukshetra ki aaj abhi batlata hu Geeta jiska naam hai uskaa saar tumhe smjhata hu Sab prashno ka hal jisme ye granth bada hi nirala hai Man vash me buddhi sthir karde jo padne wala hai Kurukshetra me kauravo or pandavo ka hona yudh tha Sab lekar khade the gada dhanush or dharm ko hona shudh tha Kai laakho ki sena ke saamne khade pandav bechare the Yudh shuru ho ise pratiksha me senik chilla re the Dhanush gada talwar liye sab hahakar macha re the Arjun ke rath ko to khud shri madhav ji hi chala re the Sankh utha ke veero ne fir fooka use baja dala Yudh hua arambh fir or ye drish bada hi nirala tha Ranbhoomi ke sabhi nazare dekhan me kuch khaas lage Pr arjun ko dekha madhav ne arjun unhe udaas lage Madhav bole utho parth ab dhanush tumhe hi chalna hai Hai kitna tu bada veer ye duniya ko dikhalana hai Ye sunkar arjun ka chehra 1 hi pal me utar gaya Mano 1 dhanurhdhaari ki vidya chuha aakr kutar gaya Madhav bole utho parth kis baat ki chinta karte ho Kya tum in laakho sainik ke bade shastr se darte ho Arjun bole nai madhav sainik ka mujhko dar hi nahi Parivar hi nahi rahega to fir chaiye esa ghar bhi nahi Fark mujhe h padta nahi bhai bhai se ladta nai Guru dron or pitamah ko kaise pohchaau hani Khela 1 ki god me or dujje ne dhanush sikhaya hai Duryodhana hai bhai mera han thora sa gussaya hai Kya milna hai vadh karke mujhe apne kul ke veero ka Nahi chaiye raaj path or gale me har heero ka Ye sab sunke keshav bhi thore se vyakul hote hai Arjun ko samjhate h ki veer na aise rote hai Mai khush teri soch se ye sanskar sabhi to mere hai Parivaaar bikhar jayega tera ye dukh ke andhere hai Ab ye batla Ku chup the sab jab cheerharan vahan hora tha Drishtraaj ne diya nahi bhoomi ka tukda thora sa Khoon nahi khaula jo yu gaandiv hath se chora tha Mai samay samay pe sath tha galti meri kuki bhola tha Ab meri baato se tu seekh Karm keval tu karta ja theek Bhool ja haar bhool ja jeet Utha gandiv chala fir teer (haan) Yudh me na anuman laga Vartman me dhyaan laga Bhoot bhavisya ki baate bhool Vartman ko jaan jara Anjaam ki parvah mat kar Karm me jaan lagade datkar Ye sab maya ka chakkar Bole madhav ji haskar Fir roop dikhaya vishal kara kamal Sabhi sawal ka diya jawaab Bola tu parth ladega aaj Na hogi khusi na hoga naraaz Mai hi hu kal mai hi hu aaj mai itihaas Mai hu saamaj mai hi Brahmastra Mai hi paramta atmanivas