Kishore Kumar Hits

Bridge Music - Desh lyrics

Artist: Bridge Music

album: Desh


Yeh nafrat ki diwaar
Kyun ek duje se juda
Bhai-bhai ke khilaaf
Kyun rota desh mera
Mere watan ki, Tu hi raza hai
Tere bharose, Hindusitaan hai
Mere watan ki, Tu hi raza hai
Tere bharose, Hindusitaan hai
Is desh ka Khuda Tu hai
Bachchon ka Pita Tu hai
Jaati-paati dharm se bada
Ab dur nahi kisi se
Paas hai Tu har ik dil ke
Saath Tu kabhi na chhodega

Hum sab ik parivaar
Yehi hai hamari pehchan
Bhinntaaon mein ekta
Bharat hamara hai mahaan
Rehem-o-karam se
Badhte chale hain
Teri wafa se, girke uthe hain
Rehem-o-karam se
Badhte chale hain
Teri wafa se, girke uthe hain
Is desh ka khuda Tu hai
Bachchon ka Pita Tu hai
Jaati-paati dharm se bada
Ab dur nahi kisi se
Paas hai Tu har ik dil ke
Saath Tu kabhi na chhodega

Mere watan
Mere watan, kyun hai ruka
Tere geeton ki kahaan hai awaaz
Tere geeton ki kahaan hai awaaz
Kyun nafrate, kyun barbadiyan
Tere jism ke tukde yahaan ghire hue hai
Mere watan
Kyun hai ruka
Chal saath milkar gaaye
Geet Naya
Geet Naya
Geet Naya
Mere watan - Uth jaag ja, Tera samay ab aa gaya
Mere watan - Hum ek hain!
Tu pyaar ka - Jhanda utha
Mere watan - Uth jaag ja, Tera samay ab aa gaya
Mere watan - Hum ek hain!
Tu pyaar ka - Jhanda utha
Is desh ki aawaz hai hum, Aazadi ka saaz hain hum
Milkar ek mann hokar gaaye
Gulami se rehaa hue ab, Ekta ka atoot bandhan
Pyaar se badal dein ye Jahaan
Is desh ki aawaz hai hum, Aazadi ka saaz hain hum
Milkar ek mann hokar gaaye
Gulami se rehaa hue ab, Ekta ka atoot bandhan
Pyaar se badal dein ye Jahaan
Pyaar se badal dein ye Jahaan
Pyaar se badal dein ye desh apna

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists