Gaflaton mai meine khawab yun jalaye hain Dardon ko dekh mene daawat pe bulaye hain Khuda sukoon de, mere iss zahen ko Hasa ke gair, maine Apne rulayen hain Bata bazaar koi, janha muje wafa mile Main bechun khushi aur ghum sala nafa mile Main bechta nahi zameer, khuda ke kauf se Warna saude karne wale kai dafa mile Jung thi apno se toh lad nahi saka, main Sikha sadkon se toh pad nahi saka, woh Bacha Rakhta apne sare zakhm gin ke, Aaj bada account aur kitna paisa nahi pata Kho di jannat maine, ab sukoon ki chah nahi Thokar bina manzil le chale woh raah nahi Bina matlab Khair nahi puchegi yeh tujhse Yeh Duniya hai Teri Maa nahi Muje ginte he yeh sare gaafilon mai, Maa Tera beta alag dikhta he kaffilon mai Shatiron mai yeh parche mere baant te hain Hairat hoti hai jab dost maa ka phone kaat te hain Rabb ne naseeb mai, mere langar likhe hain Sab sikha, nahi sikha maa bin kaise jite hain Pite hai hum ansu, unki lazzat na puch, Bas itna hi kahunga ke samander fike hain Jab tode maine rishte toh sath dega kaun paying for my sins, Like god given me loan I got enemies, joh betha hai firaak mai, and My parents left me like a movie home alone Mera yeh gaana club mai nahi bajega Ghum ki lagegi jab mehfil toh yeh uper hi sajega Mehfilon mai mera hasna inko khalta hai Rota akele mai, inhe sunai kaise dega Yeh duniya milna chahti mujse, Nahi joh duniya mai, main milna chahta unse Khoon se yeh joh shayriyan mai likh raha hoon Marham rakho apne pas, main crodon mai hi bik raha hoon Paison ka kya karun maa tera karza sar pe Khud hun fakir yeh murid mere dar ke Yeh soche itna down to earth hun main kaise Bikte dekhe mene bartan apne ghar ke Tu sath na maa, par sath tera saaya hai Itna mashur haan bas, yahi toh kamaya hai Inhone toda mera mitti ka mahel, Aaj Beta Mumtaz ka inka taj chinne aaya hai. Gaflaton mai khawab jalaye he Dardo ko daawat pe bulaye he Khuda sukoon de, mere iss zahen ko Hasa ke gair, maine Apne rulaye hen Gaflaton mai meine khawab yun jalaye hain Dardon ko dekh mene daawat pe bulaye hain Khuda sukoon de, mere iss zahen ko Hasa ke gair, maine Apne rulayen hain