Chalke main sadko se betha ab palko pe Har din chalata main apni hi sharto pe Zakhmo se behta lahoo pochha pardo se Marham lagati kalam mere dardo pe Sukhi zameen kehti mujhpe kab barso ge Par mera vaada kal milne ko tarso ge Dete bicha mere pairo mein makhmal mein Rokun ye kehke juda ab bhi farsho se Sapne dekhta par chain se main soya kab tha Hasa ke bhula aakhri baar main roya kab tha Aa jati ronak mehfilon mein mere naam se hi Itna nayab hun, aaj daam koi laga nai sakta Gareeb bachpan se lagai ab shart hai Fareed sabse hun, awaz mein hi tark hai Fark hai, main chadta nahi bhid leke Akela haq pe, main paida hua rid leke Waqif hai sab toh fasane dard ke gaun kya Zehan me galib, toh khazana koi laun kya Woh kehte chubte mere lafz unhe bahot Chir degi khamoshi, chup ho jaun kya Saja ke jugnu, deta rahat hun me raat ko Utaru kagzo pe puri kainaat ko Aaine bhi toot jate mera chehra dekh Unhi tukdo pe likhta jazbaat ko Sar pe zimmedari, khwahishon ko apni mara Jatate kehke sab, toh liya na sahara Manta hun main hara hun hazaro jung Khuda gawah hai, ek baar bhi na himat hara Dooba khud mein, kaise koi kunva roke Jalte sare, main aage badhta dhuan hoke Na kabhi dekhta aage kya musibat hai Mere piche qaafile hai chalte duaono ke Maine toofan se lad ke loh jalaayi hai Tab jake rab ne ye niyamate sajaayi hai Mere andhere toh raat se bhi kale the Khwab ki khatir mene nind ko aag lagai hai Meri kalam meri quvvat, chahe manzil likh du Meri hukumat, main lehro pe samandar likh du Dum itna hai, main mast rehta khud hi mein Main khud ki peshani pe kalandar likh du Chalke main sadko se betha ab palko pe Har din chalata main apni hi sharto pe Zakhmo se behta lahoo pochha pardo se Marham lagati kalam mere dardo pe Sukhi zameen kehti mujhpe kab barso ge Par mera vaada kal milne ko tarso ge Dete bicha mere pairo mein makhmal mein Rokun ye kehke juda ab bhi farsho se Sapno ko zindagi di maine khudko maut deke Lafzo mein jaan dali maine bas khamosh rehke Janaza bhari seene pe ghumta boj leke Koh-e-tuur se bhi hai majboot mere hauslen ye Irada toota nahi khuda se juda nahi Dilon mein basta rab to kabhi masjidon mein dhunda nahi Jalun main roz taki bujhe ghar ka chula nahi Bhatakta main musafir par main manzilo ko bhula nahi Aankho se behta neela rang meri aashiqui hai Dekha bas guroor tum na waqif meri sadgi se Kalakar hi bas jaane kese uski raat beete Hote hi andhera dil lagata bas wo chandani se Main likh ke bas dikhata tujhe aaina hun Galti meri isme kya ki pasand tujhko aaye na tu Baatein khich ke banata mera daira kyu Phir bhi gaane dalu tujhe har gaane mein zayka du Padhi kitabein nahi sikhata mujhe bita kal Neend mein main chalun khwabo ka raha picha kar Par ye hai marathon toh kehta dheema chal Jaldi todega toh khayega fir kese mitha fal Nazar ke bahar hun main sabar ke sath hun main Ye rapper murshid hai adab se mera hath choome Kitno ki hasad or kitno ki bana arzoo main Khamosh dilo ki chupi hui awaz hun main Ghar ka chirag hun main sabko main roshni du Manzil milegi par safar se apne laut nahi tu Tu teri soch se bada hai zada soch nahi tu Bas apne dil ki sun tu khojata hai shor mai kyu Sikha hai tairna ghamo me mene doob ke Pairon me chhale fir bhi rishta rasto se or dhoop se Hum bhi kya khoob kagaz ko kehte mehboob hain Syahi Jaan toh chidakta hun usse mashooq pe Chalke main sadko se betha ab palko pe Har din chalata main apni hi sharto pe Zakhmo se behta lahoo pochha pardo se Marham lagati kalam mere dardo pe Sukhi zameen kehti mujhpe kab barso ge Par mera vaada kal milne ko tarso ge Dete bicha mere pairo mein makhmal mein Rokun ye kehke juda ab bhi farsho se Sadko pe Barso ge Milne ko tarso ge