Aankhe laal hai ab, kaali raat ho jayegi Dard likhne baithun shayari ho jayegi Jitni dur meri baat jaane wali hai Utni durr inki soch bhi nahi jayegi Mujhe girane ki firaaq me yeh baithe hai Rehbar sirhane chirag liye baithe hai Puchhte hai maine dekha kya hai zindagi mein Maine jannat ke janaze uthate dekhe hai Mere hum-dard mujhpe dard-o-zulm kare Dua khuda se ke unke darjo ko buland kare Sikandar jaise ki kabr ka thikana nahi hai Bande mitti ke kis baat ka ghamand kare Khane se zyada namak, zakhmo pe tha Yakeen gairon pe, shak apno pe tha Khush huwa job dekha laut te iqbal ko Nahi woh lauta nahi, mai sapno mein tha Tarbiyat pe meri yeh sawaal kar rahe hai Mere urooj pe, dua e zawaal kar rahe hai Dub jati thi kashti meri kagaz ki Aaj kagaz bhi mere kamaal kar rahe hai Beghar mai, bhula maa ke hath ke zaayke Bahen deti phir bhi, sadke apne bhai ke Dost kehte mai toh yaaro ka bhi yaar hun Aur ladd ke baitha, mai khud apne bhai se Manzil pe thi maut mai darta kaise 1,200 ki job karze adaa karta kaise Mai joker jaisa hasta taklif me bhi Mere andar ka yeh adakar marta kaise Mera zikar bandh karo mai koi aayat nahi hoon Duniya farebi mai khud wafa ke layak nahi hoon Sawal chalenge toh haath inke kaapenge Decade mera hai, mai ek din wala nayak nahi hoon Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon Tootne pe inki khwahish hogi puri, Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon Tootne pe inki khwahish hogi puri, Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon Apne bachpan ko mai sikko me hi tol aaya Apni rahato ko pichhe kahi chhod aaya Khushbu sab me, pehchanta mai nasal kaise Gaya phool lene kaante saare tod laya Mai sher, yeh saare mujhko shayar kehte Mai toh hun raakh yeh phir bhi mujhko fire kehte Fikar me janta kehti marr jayega re tu Dekh mera time aaya, mujhko sab muraad kehte Maut muqammal, mai darne wala nahi hoon Jo jung haq hai, mai ladne wala wahi hoon Taaliyon se jab tak bhar na dunga stadium Kasam khuda ki mai marne wala nahi hoon Bina wajah inka jalna mujhpe aam hai Khair puchhte hai jab koi mujhse kaam hai Chillar jaise bajte yeh aas paas mere yeh Inki akkalon se bhi mote mujhpe daam hai Bartan beche, toh ghar pe mere meal aaya Woh bole chor, jab khilona mai chheen laya Khelta tha kho-kho, aaj khoke me khelta hoon Nikla qaid se, karke lock crore ki deal aaya Sidi pe chada, tu rokne ko saanp la Bewajah dadagiri nahi, ja apna baap la Aaj sanki hai, doglon pe aag likhdun Suhail kahi se jake fire proof panne la Kala yeh dekh meri sare hakke bakke rehte Hai 200 fanpage, idol mujhko haq se kehte Hasa kar kitno ko aabad kiya hai maine Yeh baat mai nahi, ye baat mere views kehte Woh tha toofan joh dastak deke aaya tha Akela tha, laga lashkar leke aaya tha Puchhenge kiski hai lohe jaisi legacy Kehna wo dongri wala aag leke aaya tha Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon Tootne pe inki khwahish hogi puri, Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon Tootne pe inki khwahish hogi puri, Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon