Ye nazme adhuri si hai Lagta hai ke poori bhi hai Main chahu ise Mitau ise Laga jo daam rishton pe toh log bikk gaye Aur mujhse keh rahe tum bekhudi kyu likh rahe Kabhi mile jo waqt jhaak lena dil me bhi Yaha pe chehre toh sabhi ke khush hai dikh rahe Main nachu aise jaise dhun samajh na aa rahi ho Ye duniya jaise mere gham samajh na paa rahi ho Agar bazar hai khula toh khud ko bech de Ye mere ishq ki kyu tum raqam laga rahi ho Woh aankhein shikayat kare Lafzo me riwaayat rahe Woh chahe badalna mujhe Jo mere thein saaye rahe Ye nazme adhuri si hai Lagta hai ke poori bhi hai Main chahu ise Mitau ise Kaha pata tha shamein mehkashi lagegi Sakoon ki raate mujhko har ghadi khale gi Khamosh hai woh log keh rahe thein mujhse jo Ke bistaro pe neendein makhmali lage gi Mujhe na raas aaya makhmali sa pyar woh Mujhe lauta do mera khurdara sa khwab woh Zameen se aasman ka ye safar khatam karo Mita do mujhko ya ye khwaab mera sach karo Woh aankhein shikayat kare Lafzo me riwaayat rahe Woh chahe badalna mujhe Jo mere thein saaye rahe Ye nazme adhuri si hai Lagta hai ke poori bhi hai Main chahu ise Mitau ise Yeh woh sheher hai jisme nafraton ki bastiyan Masumiyat ka ghar toh rakh banke reh gaya Mashalein juth ki liye khade woh har taraf Aur sehma sach woh unki aankhon se tha bheh gaya Main woh halaat dekh baate kuch samajh gaya hu Haan pyari baate karke sach kahu toh thak gaya hu Zamaana dekh jabse bigdi meri harkate hai Khuda kasam lage hai jaise main nikhar gaya hu Ye jo bhi sun rahe woh sirf kuch kahaniya hai Mujhe hi hai pata ke kitni mujhme khamiya hai Haan khole raaz mene jinme main sahi dikhu Main jinme galt tha woh raaz phir chupa liya hai Mujhe sudharna woh chahe deke kasme rab ki Main khud ko maut de chuka hu jaane jaana kab ki Ye zindagi toh cheen laya waqt se chura ke Magar main keemate chuka raha hu guzre kal ki Woh aankhein shikayat kare Lafzo me riwaayat rahe Woh chahe badalna mujhe Jo mere thein saaye rahe Inn raahon ka anjaam kya Ye socha nahi bewajha Tum do sath ya phir nahi Hum keh jayege alvida