Tujhe lage ki tu sahi toh main galat hi hu Juth ki nadi me sach ki aag phir sulagti Kyu Tadapti Meri rooh Khuda ka hisaa hu Insaan Teri jaat har baat pe bigadti Kyu Jaha bhi dekhu hathiyar hai zubaan ke Meethi meethi boli kadve hai vichar ke Inka bas chale toh aaj hi ye unko tang de Jo insaa'n inki choti soch ke khilaaf thein Azaad rehna hai galat toh main galat sahi Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi Karma me yakeen mujhko darm me nahi Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi Azaad rehna hai galat toh main galat sahi Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi Karma me yakeen mujhko darm me nahi Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi Har taraf dikhuga main Jaha bhi khwab bante ho Mehnato'n ke rang se Haqeekato'n me dhalte ho Sukoon ke voh katrein jab Junuun me sulagte ho Iss chere pe hasi dikhe he Aankhein chahe gham me ho Na main mehlo se hu Na kisi gali ka Meri inn kahaniyo me Sabka hai saleeqa Mumbai-Delhi kerke Mujhko shehero'n me na baatna Ye geet sun mere Main saare Hindustan ka Mujhe Kya dhunta Main teri hi azaa me hu Meri hai kahani Per ha tumse hi bana main hu Panha me hi rahu Ya tumse main ladu Faisla tha tera aur dekh main sazaa me hu Yakeen ker mera ye khwaab bhi pukarte Sarhado se duur dekh ek naye jahaan me Jin baaton ke khilaaf tu shayad voh kisse aam thein Zaruuri toh nahi ke sab jeeye tere hisaab se Azaad rehna hai galat toh main galat sahi Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi Karma me yakeen mujhko darm me nahi Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi Azaad rehna hai galat toh main galat sahi Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi Karma me yakeen mujhko darm me nahi Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi