Chahe mujhe kabhi pyaar na ho Mera koi yaha khaas na ho Per jispe karu main yakeen Voh chehra kabhi bhi naqaab na ho Mera chahe bada naam na ho Mehfil me pehchaan na ho Bas itna hi mangu khuda Mehnat jo karu voh khraab na ho Tumhe toh dikhe har baar bas haar meri Girr ke utha main kaise tumko ye dikhta ni Kaam ko mere sache logo se tareef mile Deke main paise kabhi views ko khareedta ni Mujhe sikhaya na karo kaise banane ghaane Likhu main dukh ya main sukh alfaaz mere Jinhe samajhna voh samjhe ehsaas mere Sunn ne waale toh mujhe sab dhokebaaz mile Sath ni dena toh phir karte fikar kyu Deke udaari mere kaat te ho par kyu Desi main banda na samajh aaye trend naya Baat hai dil ki toh maangte jism kyu Bolu main sach toh samajhte ghamand kyu Sehlunga sab tumhe laga ye bharam kyu Haan main shayar hu, hu par Haryana ka Bin baat ke macha rahe bhasad kyu Koi mujhsa deewana nahi Main kerta dikhawa nahi Main shayar hu likhta jo baate Zamana bata ta nahi Koi mujhsa deewana nahi Main kerta dikhawa nahi Main shayar hu likhta jo baate Zamana bata ta nahi Mene na socha the ki aisa anjaam hoga Meri likhai ko dil waalo ka salaam hoga Mera geet jo bhi sunta repeat pe Vo mera apna ni koi anjaan hoga Bada tarsa main dekhne ko din naya Ankhein thi nam meri zakhmo'n se dil bhara Aur aake bolte ye nakli se launde mujhe Jo baje gaadiyon me aisa koi geet bana Tumhe hi shauk hoga dikhawo me jeene ka Meri kalam me toh sach ki likhai hai Tere baap ne dilai hogi gaadi tujhe Mere baap ne mujhe mehnat sikhai hai Hone ko 30 ke ye phir bhi akal nahi Saari jawaani jhak maar ke beetai hai Mene toh sach kaha khol diye raaz sabhi Baato'n me meri ab dhundtein burai hai Koi mujhsa deewana nahi Main kerta dikhawa nahi Main shayar hu likhta jo baate Zamana bata ta nahi Koi mujhsa deewana nahi Main kerta dikhawa nahi Main shayar hu likhta jo baate Zamana bata ta nahi