Kishore Kumar Hits

Lights Out - Aarzu lyrics

Artist: Lights Out

album: Wallflower


Sochta na-paak
Isme dil ka kya kasoor
Dekhe bhi dikhe na
Hai yeh dil ki Aarzu
Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main.
Baandh lu main
Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main.
Baandh lu main
Dhoop mein main baitha likhu aarzu barsaat ki
Barsaat ki raat ke baad aarzu aaftaab ki
Hai mera bhi mamn kameena, aur hai laalchi
Chahiye zulfein reshmi aur uski aankh bhi kaashni
Dooriyan bhi chahiye mujhe geet likhne ko
Par uske sath mujhe hai har raat bhi kaatni
Fursat mein masroofiyat ke bare sochunga
Masroofiyat mein fursat ke bahane khojunga
Kabhi kahunga main khudko ki bahut hu main ro chuka
Kabhi khud hi main khudke aansu poochhunga
Hai mann mera ki main jaanu har cheez ke bare
Kya hai yeh sansaar, kyu chamakte hain taare
Kyu khafa hai sab kyu yun hi ladte hain saare
Kyu insaan ho ke hum, insaan ko hi mare
Dharti ko kehte maa aur fir maa ko hi kha rahe
Kitni badi hai yeh kehkashan, kahan ko hum hain jaa rahe
Sochta na-paak
Isme dil ka kya kasoor
Dekhe bhi dikhe na
Hai yeh dil ki Aarzu
Sochta na-paak
Isme dil ka kya kasoor
Dekhe bhi dikhe na
Hai yeh dil ki Aarzu
Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main.
Baandh lu main
Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main.
Baandh lu main

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists