Dhondta tujhe har manzar mein yoon baka hoya mein Masjidon or mehkhanon ko bhi chor aaya mein Justajoo saare alam ko ay khudaya teri Mil na paye ga tu inko jaan aaya mein Tujhko dhoondte hain ye nafraton mein dil mein ghubaar bhar ke Ye na jaante ke tu bas raha hai tootey hoye dil mein Tera ghar nahin hai masjidon mein or mandiron mein Allah Tu tou har jaga hai har ghari hai paas hi hai Allah Hu Allah Hu Allah Munsifon nein naam pe teri zulm kesa dhaya Chaar din ki iss zindagi ko talk hai banaya Jal rahe hain kion sadiyon se bewaja ye bande Dekhta hai kia zameen par kion nahin tu aata Lakhon beguna bandon ki aahein sun raha hai phir tu Teri aas par jo jee rahein hain vo jal rahein hain phir kion Maana aarzi hai zindagi or imtehan hai dunya Par munsif agar hai tu rokta nahin zalimon ko kion Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu