Ap mere sab se achay dost ho Dost? Aap tou dada hain, mere dost tou Noor, Ali Aur Muhammad hain... Aap jab chotay thay tou apkay dost kon thay? Mere dost thay... Munawwar, Faiz, aur... Aik aisa dost tha jissay mein kabhi bhula nahi sakta, Lakshman Lakshman? Apka dost Hindustan se hai? Hahaha hanjee Arey dost kia, mein bhi bohoot saal pehle wahan hi rehta tha Umm lekin Ahmed bhai tou kehte hain sarey Hindustani dushman hain humaray Dushman? Arey ye kia bol rahe ho Ahmed Bilkul theek kehta hoon mein Dada jee Dushman hi tou hain vo humare Dekh nahi rahe aap aaj kal... upar border pe kia kar rahe hain vo? Dushman nahi tou aur kia hain vo? Abdullah... aap.aap jao, ami bula rahi hain aapko Arey nai nai, sunne dou issay bhi Main batata hoon Dost thay vo mere Hamdard thay vo mere Hamsaye thay vo mere Aur... ab bhi hamsaye hain vo humare Yahi hamsaye satar saal se humare nou jawanon ka khoon baha rahe hain Uske baare mein kia kahein gey aap? Har Hindustani khoon nahi chahta Sarhad ke is paar, aur us paar, aaj bhi aman Aur muhabbat chahne waley zinda hain Dada jee iska matlab ye tou nahi ke hum khoon bahane walon ko hi bhool jayein Iska matlab ye bhi nahi ke aman ki tamanna hi na rakhi jaye Akhir, kab tak khoon bahatay rahein gey? Kab tak ek doosre ke liye darwazay band rakheinge? Beta ye gurbat, ye takleef, ye khoon Sab, sab nafrat se janam lete hain Mera dil kehta hai ke ek din ayega Phir se Amritsar ki galiyan dekhunga Phir apne purane ghar ke angan mein beth kar hawa ka lutf uthaoonga Phir Lakshman ke sath yaadein jiyoonga Mera dil kehta hai aik din aayega Jab sarhadon pe khardaar taron ki bajaye, khule darwazay mileinge Akhir, aik hi chaman ke tou phool hain ham sarey Aik chaman ke phool hain saare aik gagan ke tare Aik samandar mein girte hain sab dariyaon ke dharey Sab dariyaon ke dharey Saanjhi apni khushian hooo Saanjhi apni khushian aur ghum aik hain hum aik hain Inn parchamon ke saaye taley hum aik hain hum aik hain Inn parchamon ke saaye taley hum aik hain hum aik hain Qaum mulk saltanat Painda tabindabad Shad bad Manzil-e-murad Saare jahaan se acha Hindustan humara humara Saare jahaan se acha Pakistan humara Punjaba Sindhu Gujrata Maratha Dravida Utkala Banga Jana gana mangala dhayaka jaya he Bharata bhagya vidhata Jaya hai Jaya hai Jaya hai Jaya jaya jaya jaya hai Saaya-e-Khuda-e-zuljalal