Kishore Kumar Hits

Jokhay - Shayad lyrics

Artist: Jokhay

album: Shayad


Kathin safar, mili khabar
Kinaaray pe woh apna ghar
Harre zakham, hain aankhen namm
Chaltay rahen ya karen sabar
Phir chaldiye kandho par leke bojh
Hain Aagay ranjishen aur doghle log
Ke Lagte hain apne ab to paraaye
Hain aankhon mei aansu, karta na koi ghaur
Kehta hu sach, lagay sub ko jhoot
Maanta na koi mera kya kusoor
Dard yun sehte, kya kisi ko kehte
Rehte zameen pe nahi koi ghuroor
Kya kuch suna, kya kuch kaha
Chaadar thi chhoti mein akrha raha
Ghut'ta raha, dil dukhta raha
Kaise mein dikhta, mein chhupta raha
Kaanton mei simta jaise chubhta raha
Iraaday thay naik par koi sunta na tha
Woh kaisi Ghalat fehmiyan mere baare
Jab bughz mein kisi se rakhta na tha
Aaye meri Yaad jab mujhay aaye maut
Meri qadar nahi thi, par shayad ab hai Thori bohat
Mere jaane ke baad kya sub yaad rakhen mujhay
Par asliyat yehi ke kuch din ka maanatay yeh sog.
Shayad tujh se khuaabon mai miluuuu,
Kya karun in yaadon se ab laruuuuu,
Mai andar se marr chuka ab kese jiyon
Ghum hi itne kia kia mai chupaata phiruu,
Ghutt raha hu bheeed mai, jeene tou do,
Khul ke yahan saans hi lene tou do,
Tarse ek ghooont k tum peene tou do,
Kyun mujhe dhundte bhai jeene tou do,
Darham barham lakin phir bhi kesay bharam dekh
Juala khoon tabhi hojata hai garam dekh
Jhoti batien mujhse hoti nahi hazam dekh
Jitney bhi banjae sakht laundey dil k naram dekh
Mera Azam mera qadam mera qalam dekh
Mere ganey meri kala Meri nazam dekh
Karam dekh! jakey Kahin marham dekh
Tujhe dikhay jo tattoo meri body pe wo zakham they
Lehjay naram they! Ab phenkey agg kyun
Tum sage nahi mangtey hisaab kyun
Tum khuda nahi! Meri cheentey khurrak kya
Totan fitney dalo bewaja Azaab kyun
Junooni khoon justju kaha hai
Tu bhagey jiskey pechey wo ru ba ru kaha hai
Urdu hiphop meri Urdu kaha hai
Tu hiphop
J Khud tu kaha hai
Holy talk! Mera wazu kaha hai
Banton Ilam tarazu kaha hai
Hath dua ko nahi uthtey
Mera dil mere Baazu kaha hai
Harey hain jeetey hain
Anso ko petey hain
Dil k yeh pheekien hain
Janey tareeqey hain
Zakhmo ko seetey hain
Gir k hi seekhien hain
Aeney main dekh hum
Khud pe bhi cheekien hain
Meri hustle mera pait bharey!
Tujhe dikhey jo wo mehnat wo luck nahi
Main manzil pe pucha
Jab k pata koi rasta, pata koi sarak nahi
Zindagi ney sakht kia
Bachpan karak nahi!
Mu bal girey par Gaye to bathak nahi
Ganey krney hain jokhay!
Tujhe pata bhujhi abhi meri tarap nahi
Shayad tujh se khuaabon mai miluuuu,
Kya karun in yaadon se ab laruuuuu,
Mai andar se marr chuka ab kese jiyon
Ghum hi itne kia kia mai chupaata phiruu,
Ghutt raha hu bheeed mai, jeene tou do,
Khul ke yahan saans hi lene tou do,
Tarse ek ghooont k tum peene tou do,
Kyun mujhe dhundte bhai jeene tou do,
Han rehte hum zone mai, beth meri class mai sab jaanay k hu kon mai?
Khuda ne cheenay log tabhi khara microphone pe,
Pistol mere hath mai par apne mujhe rok len,
Akelay bethay sochte, agay hain teri soch se,
Khuda k is hi khof se, na laray kabhi shauq se,
Kutte maine paalay jo ab woh hi mujhpe bhonkte,
Baaten itni asal asar choren, kharay rongtay,
Ashqon ka darya ye, doobay mere apne,
Kese na phir kooday jeben patharon se bhar ke,
Mai Khuda k saharay, wuhi pooray karay sapnay,
Wuhi dikhaata rastay, wuhi sonay ko chatt de,
Ye dunya walay samjhen mujhe hosh nahi hai,
Industry ye mulaazom meri, dost nahi hai.
Andheray bhi ye darren meri roshni se,
Na samajh ko dosh den wo soch nahi haii,
Kia larru in mehmamon se, kia darru in divanon se?
Kia rahu asmaanon pe, aur badalon se gaanay den,
Woh darren in nigaahon se, jab studio ho baahon mai,
Mai likh raha alag saalon se, jab samjhe nai kia maanogay,
Dhund bilmuqaabil, laray hue hum tou maut se,
Sarak se shuru hue ab dikhen billboard pe,
Asla bina license k leke pohanchu mai shoot pe,
Ye bilawaja shorr in ko chahnay wale thokk den,
Woh bhi ashiq thay hamare, jo humein qaatil bata rahe,
Maine dekhay woh nazare jab yahan jeenay k thay laalay,
Phir bhi darrti ye salaakhen kehteen is ko kon sambhaale
Hum in lafzon k saharay, logon ko jeena sikha rahe,
Bahen aise k khud raah dhund lete,
Dilon pe hai qabu hota jadu jese,
S aise baantay hain bol kia lu pese,
Daaka pooray shehr pe, hum daku aise.
Shayad tujh se khuaabon mai miluuuu,
Kya karun in yaadon se ab laruuuuu,
Mai andar se marr chuka ab kese jiyon
Ghum hi itne kia kia mai chupaata phiruu,
Ghutt raha hu bheeed mai, jeene tou do,
Khul ke yahan saans hi lene tou do,
Tarse ek ghooont k tum peene tou do,
Kyun mujhe dhundte bhai jeene tou do,

Поcмотреть все песни артиста

Other albums by the artist

Similar artists