Aankhain band, sochen jaari Kaise bayaan karu lafzon mei zindagaani Kaise shaaya karu aankho se behta paani Kaise bataaun hai dikhaave ki yeh khush haali Yeah, yeah yeah Kaampta jism jab bhi niklu khud ki talaash mein Paas na koi, dekhta tha khud ko apne baap mein Woh bhi na raha mei kis ko dekhu apne aap mein Ab Maa hi mera saaya warna tha aik zinda laash mein Kya sab lahaasil hai? Khuahishen thi bohat zikar karne se ab qaasir hain Koi yahaan kaamil nai, seekhte khataaon se Mehnge parhe shauq, par hum thehre un par qaadir hain Zamaana naazir hai, gawah mere fun ka Pyaar milta itna kya mei laaiq hu is sab ka Shukarguzaar hu mei ke mile mujhay log aisey Wohi log jinse raabta mera mazboot thaa Jaane is din ke liye hum ne din dekhe kaise kaise Koi apne naam pe keecharh uchaale aise kaise Kuch rishte khoon ke nahi par hain barh ke khoon se Aik dooje ko dete sahaara hum khud jaise taise Tae kiya safar jidhar ko koi rasta jaata nai tha Jinko lagta tha kal tak mujhko to kuch aata nai tha Unhi ke munh se apni tareefen ab sunta hu mei Bataane ke liye shukriya ke kitna umda hu mein Darasal baat yeh ke humne haalaat dekhe Pal mein palat'te logon ke sarron se taaj dekhe Aik baar jo utre dil se laakh koshish karle phir tu Ab nai rukkne waala chaahay roke koi awaaz deke Sachhayi yeh ke koi nai mehnat karna chahta Subko chahiye waqt se pehle hadd se zyaada Dil mei mel kaise munh pe banke aatay meethe Peet peeche bharwatain aik dooje khud taangen khenchen Woh mutaasir meri wafa se Khuloos bhara hilta kese apni jagah se Wo kese mujhe dagha den Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye Woh mutaasir meri wafa se Khuloos bhara hilta kese apni jagah se Wo kese mujhe dagha den Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye Krta shayari per kis tarah ka shayar hon Main akhr kis mizjaab ka! Khud ki samjh sey bahir hun Main kuch to zahir hun, shayad isi main mahir hun Main batien krta bari ya sirf aik mu ka fire hun Rozana likhney bethon to lafz safon pe naachtey Kya yeh bhi meri tarah nashey mai Ghabri hokey khaanstey Dhondo agar to mujhe milti koi waja nah Kyun rakh hue panney! Shayad geet mere aag they Kis ko gawah banao! Koi bacha na Main seedha admi tha aadmi ka koi sagha na Sher zakhmi bhi sher hai do Dawa na Music Bana yeh junoon aur dil Kahin laga na Sar phira tou Sar Qalam, laundey low rehtey Fly mode jigar! On the go rehtey Tu bhai hai to sath hai tu sath reh tu bhai hai Laundey 420! Phir bhi 100 rehtey Ye qalam kaghaz ka raas ni hai Badal sirhaana lekin mere pass jahaaz nai hai Khuli kitaab dunya se rakhe koi raaz nai hain Baaz kiun ayen, jab ungli uthaana laazmi hai Dil ko qurbaan kiye, apno ko pehchaan diye Sath poori army hai, Rap k liye jaan dee hai Jokhay Gawah Rehna, Talha tu gawah haina Ye sab beemar thay, humse kehtay thay dawa dena Sookha ye galla mera, piyaasay kharay stage pe Dunya walay dekhtay, par hum tou khaali pait thay Mehlon mai bethay saalay darte wo iss khet se Paisa kia cheez ab mai bhaari in ki jeb pe Paid hate campaigns, ye laat tere pait pe Sher ko na cher be, sarr charte jese Beer ye Rhymes double, mai karta inka mind boggle Wine baghal mai nai chahiye opener, meri grind double Shine pakartay hain shayar meri line pakar Director's cut baby, AD hai tou joint pakar Hustle ko dena chahta hu mai ab resign magar Rap yahan na pohanchta, na karta dealen sign agar Sath detay,jo apne hain wo sath dete Daagh dekhay, dil hote bagh bagh dekhay Jo khuaab dekhay woh tou jee raha mai aaj betay Baap ko hai naaz mujhpe yehi mera Taaj betay Mai tera zehan, mai zaheen bhi Sarr pe mere kaam ziada, kehlo mujhe team bhi You know, It was all a dream Ab Dekhu apna bank balance hota yaqeen nai Woh mutaasir meri wafa se Khuloos bhara hilta kese apni jagah se Wo kese mujhe dagha den Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye Woh mutaasir meri wafa se Khuloos bhara hilta kese apni jagah se Wo kese mujhe dagha den Shayari se zarf den, bhui aur likho, saza ye