Tor do salaakhein Qaidi ko choro Pinjray me band hai Taalay to kholo Kon gawaah hai? Kis ki anaa hai? Rehna yahan nai Jaana gunaah hai Kon gawaah hai? Kis ki anaa hai? Rehna yahan nai Jaana kahan hai? Tor do salaakhein Qaidi ko choro Pinjray me band hai Taalay to kholoooo Hooooo (Hooooo hooooo) (Music) Tere saaray aansuon ki Rakh rahe nishaani baadlon me Nazreen mulaahiza farmaen Mere zehen ki majlis me tashreef laen Mera sabar idhar chala hua aakhir ki jaanib Me kefr e kirdaar pe aur qaatil ye gaane Mera chaand ab bhi girhano se ghiraa hua shaayad Wo qaazi ke saamne mukkar gaya shaahid Jo apne hi lafzon pe phir jaata wo qaahir Ki rooh ko phir jism se hi aane do na baahir Me hathon me khanjar liye seene me ghonp dun Kalaa libaas jese moat ka me roop hun Sawaalat bohot khud jawabon ki taalash me Hawaalat roz Gunaah saare indaraaj me Me to koi rehnuma nahi kese teri tarjumani karun? Choti ye nigaah nahi to phir kese nagahaani banu? Har aik honi unhoni ke paar utra Har aik khuwahish ko me seene me hi maar chuka Raakh utha saath lutta Yaar kahan gaye tere? Bhaag chuka, waqt ruka Wehem khaa gaye terey Kon gaya kya bacha Rehem kahan gaye tere? Kya wajah? kya gunah? Zulm bhaa gaye tujhe Tere aur mere beech farq itna waazeh Me lar raha hun jinke liye tu unke hi mukhaalif Me raazi nai, hasid nai, qazi nahi, wajib nai Saadiq nahi, raaqib nahi raaghib hun, haazir Me rehbar, tu raahzan, me jaabir, tu qaahir Wo azaan e bismil, me rehnuma e aakhir to chal Tere wehmo o gumaan ka me kardun qattal (Music) Kon gawaah hai? Kisiki anaa hai? Rehna yahan nai Jaana gunaah hai Kon gawaah hai? Kisiki anaa hai? Rehna yahan nai Jaana kahan hai? Tor do salaakhein Qaidi ko choro Pinjray me band hai Taalay to kholo Hooooo (Hooooo hooooo)